Wazu Ke Baad ki Dua Hindi me tarjume ke Sath

Wazu ke baad ki Dua ke namse apne kai duaye padhi hongi leqin asal me Wazu ke baad ki dua jiski Allah ke Nabi (ﷺ) ne talim di hai aisi sirf 3 duaye hai.

Aiye wazu ke baad ki Dua ki hadees ko ek ek karke dekhte hai jisse hame dua bhi yaad ho jaye aur hamare Nabi e pak (ﷺ) ki hadees padhne ka sawab bhi hame mile.

Wazu ke baad ki dua, Wazu ke baad ki sunnat duaye

If you want to read “Wazu ke baad ki dua” in english, then you can read our post “Dua After Wudu” by clicking here.

Wazu ke baad ki dua

Wazu ke baad ki Dua 1

Riwayat hai ke Hazrat ‘Umar bin Al-Khattab Ne Farmaya:

“Allah ke Rasul (ﷺ) ne farmaya: ‘Jo koi bhi shakhs wazu karta hai, aur achhi tarah se karta hai, Uske bad padhta hai: 

 أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

Ashhadu an la ilaha ill-Allah wa ashhadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasuluh

(Mai gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi Ibadat ke kayak nahi, aur mai gawahi deta hu ke Muhammad Allah ke bande aur uske Rasul hai),” uske lye jannat ke 8 darwaze khol diye jate hai, aur wo jismese chahe usmese dakhil ho sakta hai.’”

Reference : Sunan an-Nasa’i 148

Wazu ke baad ki Dua 2

‘Umar bin Al-Khattab (radi.) riwayat karte hai:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne irshad farmaya, “Jo koi bhi Achhi tarah wazu kare uske bad gawahi de ke: 

أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَـهَ إِلاّ اللهُ وَحْدَهُ لا شَريـكَ لَـهُ وَأَشْهَدُأَنَّ مُحَمّـداً عَبْـدُهُ وَرَسـولُـه

Ash-hadu an la ilaha illallahu Wahdahu la sharika Lahu, wa ash-hadu anna Muhammadan ‘abduhu wa Rasuluhu 

(Mai gawahi deta hu ke Allah ke alawa koi aur ilah nahi hai, Wo Akela hai, uska koi sathi nahi, aur Muhammad (ﷺ) uske bande aur Rasul hai),’ Jannat ke 8 darwaze us par khol diye jayenge. Wo jis darwaze se chahe usmese Dakhil ho sakega.”

[Muslim].

Reference : Riyad as-Salihin 1032

Upar di gayi hadees me aur is tarah ki dusri sahi hadees me Wazu ke baad ki dua padhne ke bad asman ki taraf dekhna aur shahadat ki ungli utha kar ishara karna, in sab bato ka koi zikr nahi hai. 

Wo sari riwayate jinme Wazu ke baad ki dua padhne ke bad asman ki taraf dekhne ya shahdat ki ungli utha kar ishara karne ka zikr hai wo riwayate zaif hai, aur apko un par amal nahi karna chahiye.

Wazu ke baad ki Dua 3

Sunan Nasai Al Kubra me hadees hai jisme ravi ye riwayat karte hai ke, 

Allah ke Rasul (ﷺ) ne Wazu ke bad ye dua bhi padhi hai:

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ 

Subhanaka Allahumma wa bihamdika, ash-hadu an la ilaha illa Anta, astaghfiruka wa atubu ilaika

Ya Allah, tu har aib se pak hai, tamam tarife tere hi lye hai, tere siwa aur koi bhi ibadat ke layak nahi, mai tujhse bakshish chahta hu aur mai tujhse taubah karta hu.

Iske sath hi tabei ka qaul bhi maujud hai, ke jo bhi ye kahega to Allah ta’ala Qayamt tak ke lye uske is amal ko mehfuz kar ke rakh dega aur Qayamat wale din is amal ka ajre azeem ata farmayega.

Refrence: Sunan Nasai Al Kubrah 9829

Upar ki hadees me jo Wazu ke baad ki dua ayi hai, wohi dua Majlis se uthte waqt padhne ki hai, majlis se uthne se pehle is dua ko padhne us majlis me jo jane anjane me gunah ho gae ho unhe Allah maaf farma deta hai. Niche apki tasalli ke lye Majlis se uthne ki dua ko bhi nakal kar diya hai.

Abu Hurairah (radi.) riwayat karte hai:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne farmaya, “Jo koi bhi majlis me baithta hai aur bekar bato me mulawwis ho jata hai, agar wo majlis se uthne se pehle ye dua padhe:

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ 

Subhanaka Allahumma wa bihamdika, ash-hadu an la ilaha illa Anta, astaghfiruka wa atubu ilaika 

Ya Allah, tu har aib se pak hai, tamam tarife tere hi lye hai, tere siwa aur koi bhi ibadat ke layak nahi, mai tujhse bakshish chahta hu aur mai tujhse taubah karta hu.

To us majlis me jane anjane me jo bhi gunah usse ho gae unhe baksh diya jayega.

[At-Tirmidhi].

Reference : Riyad as-Salihin 831

Wazu ki fazilat

Wazu Ke Baad ki Dua janne ke bad aiye wazu ke mutalliq kuch hadees sharif ko jaan lete hai jisse wazu karne ki ahmiyat ka apko kuchh andaza ho jaye.

Pehli hadees, sahi bukhari aur muslim ki muttafqun alayh hadees hai:

Uthman b. ‘Affan riwayat karte hai:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne irshad farmaya: Wo shakhs jo achhi tarah wazu kare, uske jism se uske gunah bahar nikal jate hai, yaha tak ke uske nakhun ke niche se bhi gunah ko nikal diya jata hai.

Reference : Sahih Muslim 245

Urwah, humran se riwayat karte hai ke jab hazrat Usman radi. Ne wazu kiya to farmaya main tum ko ek hadees sunata hu, agar Qurane pak ki ek ayat na hoti to main ye hadees tum ko na sunata. Main ne Rasul (ﷺ) se suna hai ke Aap (ﷺ) farmate the ke jab bhi koi shakhs achhi tarah wazu karta hai aur  namaz padhta hai to us ke ek namaz se dusri namaz ke padhne tak ke gunah maaf kar diye jate hai. 

‘Urwah kehte hai ke wo ayat ye hai (Quran 2:159): 

إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكْتُمُونَ مَآ أَنزَلْنَا مِنَ ٱلْبَيِّنَـٰتِ وَٱلْهُدَىٰ مِنۢ بَعْدِ مَا بَيَّنَّـٰهُ لِلنَّاسِ فِى ٱلْكِتَـٰبِ ۙ أُو۟لَـٰٓئِكَ يَلْعَنُهُمُ ٱللَّهُ وَيَلْعَنُهُمُ ٱللَّـٰعِنُونَ

Jis ka tarjuma ye hai, jo log Allah ki us nazil ki hui hidayat ko chhupate hai jo usne logo ke lye apni kitab me bayan ki hai, un par Allah ki l’anat aur l’anat karne walo ki l’anat hai. 

Reference : Sahih al-Bukhari 160

Isi hadees ka ek aur turk dekhte hai jisme kuch alfazo ka izafa hai.

‘Amr bin Sa’id bin al-As riwayat karte hai:

Mai Usman radi. Ke sath tha, aur unhone wazu ke lye pani mangwaya aur farmaya: Maine Allah ke Rasul (ﷺ) se suna hai: Jab kisi farz namaz ka waqt hota hai, tab agar koi muslim achhi tarah se wazu kare aur apni namaz ‘ajizi ke sath aur jhuk kar ada kare, to ye uske pichhle gunaho ka kaffarah ho jayega, jab tak ke usne koi bada gunah na kiya ho, aur ye har bar isi tarah se hota hai.

Reference : Sahih Muslim 228

Bhaiyo, upar ki hadees se ye saaf ho gaya ke kabirah gunah nek amal se maaf nahi hote, wo sirf tauba se maaf hote hai.

Jab kabhi bhi ap ye sunte hai ke wazu ya koi aur neki karne se gunah maaf hote hai, waha hamesha murad sagirah gunah yane ke chhote gunah hote hai. 

Kabirah gunah kabhi bhi baghair tauba ke maaf nahi hote. Leqin afsos, aj hamare m’ashre me aksar kabirah gunah hi paye jate hai. Jhoot, chugli, gaali galoch, ye sare kabirah gunah hai, jo baghair tauba ke maaf nahi honge. Bhaiyo, Allah se daro aur gunaho se ruk jao.

Allah se dua hai ke jo bhi baate hamne likhi apne padhi, Allah is par ham sab ko amal karne ki taufiq ata farmaye, aur Qayamat ke din hamare haal par raham farmaye aur hamari maghfirat farmaye, Aameen Ya Rabbul Alameen Aameen.

SunnatAzkar.com ki is post me hamne boht koshishe kar ke, kafi ehtiyat ke sath, apko sahi hadees ki roshni me Allah ke Rasool e pak (ﷺ) ki sikhayi hui Wazu ke baad ki dua ap tak pohchayi hai. 

Ab apka bhi farz banta hai ke ap Wazu ke baad ki dua ko apne dost, ahbab, rishtedaro ke sath share kare, aur unhe in duao ko padhne ki raghbat dilaye take ye amal apke lye sawabe jariyah bane. 

2 thoughts on “Wazu Ke Baad ki Dua Hindi me tarjume ke Sath”

  1. Pingback: Dua after wudu in English With Meaning - SunnatAzkar

  2. Pingback: Nazar Ki Dua aur Dam ruqyah - SunnatAzkar

Leave a Comment