Wazu ka tarika Sahih Ahadees ke Sath

Is post me ham Wazu ka tarika sahih ahadees ki roshni me dekhenge, uske pehle wazu karne ki fazilat ko bayan karne wali kuch ahadees ka mutala’ karte hai.

WAZU KA SUNNAT TARIKA
WAZU KARNE KA SUNNAT TARIKA

Wazu ke fazail

Pehli hadees:

sahi bukhari aur muslim ki muttafqun alayh hadees hai:

Uthman b. ‘Affan riwayat karte hai:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne irshad farmaya: Wo shakhs jo achhi tarah wazu kare, uske jism se uske gunah bahar nikal jate hai, yaha tak ke uske nakhun ke niche se bhi gunah ko nikal diya jata hai.

Reference : Sahih Muslim 245

Dusri Hadees:

Urwah, humran se riwayat karte hai ke jab hazrat Usman radi. Ne wazu kiya to farmaya main tum ko ek hadees sunata hu, agar Qurane pak ki ek ayat na hoti to main ye hadees tum ko na sunata. Main ne Rasul (ﷺ) se suna hai ke Aap (ﷺ) farmate the ke jab bhi koi shakhs achhi tarah wazu karta hai aur  namaz padhta hai to us ke ek namaz se dusri namaz ke padhne tak ke gunah maaf kar diye jate hai. 

‘Urwah kehte hai ke wo ayat ye hai (Quran 2:159): 

إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكْتُمُونَ مَآ أَنزَلْنَا مِنَ ٱلْبَيِّنَـٰتِ وَٱلْهُدَىٰ مِنۢ بَعْدِ مَا بَيَّنَّـٰهُ لِلنَّاسِ فِى ٱلْكِتَـٰبِ ۙ أُو۟لَـٰٓئِكَ يَلْعَنُهُمُ ٱللَّهُ وَيَلْعَنُهُمُ ٱللَّـٰعِنُونَ

Jis ka tarjuma ye hai, jo log Allah ki us nazil ki hui hidayat ko chhupate hai jo usne logo ke lye apni kitab me bayan ki hai, un par Allah ki l’anat aur l’anat karne walo ki l’anat hai. 

Reference : Sahih al-Bukhari 160

Isi hadees ka ek aur turk dekhte hai jisme kuch alfazo ka izafa hai.

‘Amr bin Sa’id bin al-As riwayat karte hai:

Mai Usman radi. Ke sath tha, aur unhone wazu ke lye pani mangwaya aur farmaya: Maine Allah ke Rasul (ﷺ) se suna hai: Jab kisi farz namaz ka waqt hota hai, tab agar koi muslim achhi tarah se wazu kare aur apni namaz ‘ajizi ke sath aur jhuk kar ada kare, to ye uske pichhle gunaho ka kaffarah ho jayega, jab tak ke usne koi bada gunah na kiya ho, aur ye har bar isi tarah se hota hai.

Reference : Sahih Muslim 228

Bhaiyo, upar ki hadees se ye saaf ho gaya ke kabirah gunah nek amal se maaf nahi hote, wo sirf tauba se maaf hote hai.

Jab kabhi bhi ap ye sunte hai ke wazu ya koi aur neki karne se gunah maaf hote hai, waha hamesha murad sagirah gunah yane ke chhote gunah hote hai. 

Kabirah gunah kabhi bhi baghair tauba ke maaf nahi hote. Leqin afsos, aj hamare m’ashre me aksar kabirah gunah hi paye jate hai. Jhoot, chugli, gaali galoch, ma baap ki nafarmani, ye sare kabirah gunah hai, jo baghair tauba ke maaf nahi honge. Bhaiyo, Allah se daro aur gunaho se ruk jao.

Teesri Hadees:

Sahih Bukhari aur Sahih Muslim ki muttafakun alayh hadees hai:

Nu`am Al-Mujmir riwayat karte hai:

Ek martaba main masjid ki chhat par gaya, Abu Huraira ke sath. Unhone wazu kiya aur kaha, “Maine Huzure Aqdas (ﷺ) ko kehte suna hai ke, “Qayamat ke din jab mere ummati bulaye jayenge to unke chehre, unke hath aur unke pair wazu ki naishani ke taur par chamak rahe honge, to agar tum mese koi us chamak ko badhana chahta hai to wo aisa zarur kare. (wazu ke zariye).

Reference : Sahih al-Bukhari 136 

Musta’mal Pani ka Mas’ala

Abu Huraira radi. Riwayat karte hai:

Tum mese koi shaksh jab bhi neend se uthe, to use chahiye ke pani ke bartan me apne hath na dale jab tak ke wo apne hatho ko teen martaba dho na le, kyu ke wo nahi janta ke jab wo neend me tha tab uske hath kaha par the.

Reference : Sahih Muslim 278a

Upar ki hadees se sabit hota hai ke agar kisi shaksh ko wuzu ya ghusl ki hajat hai to wo sidhe pani ke bartan me apne hath nahi daal sakta. 

Pehle use pani ko apne hatho par undel ke unhe dhona hai, uske bad pani ke bartan me wo utne hi hath duba kar pani lega jitne hath usne dhoye hai.

Agar aisa na kiya jaye, aur sidha pani ke bartan me hath dal diya jaye to sara pani jo us bartan me hai wo musta’mal ho jaega, yani ke istemal shuda ho jayega. 

Halanke ye pani ganda nahi hua hai par istemal shuda ho gaya hai, aur ab us pani se Wazu ya ghusl nahi ho sakta.

Leqin ye sari dikkate purane zamane me hoti thi, aj to hamare yaha pani ke nal lage hote hai, ya to ham pani ke nal ka istemal karte hai ya fir shower me wazu ya ghusl kar rahe hote hai, to hamare lye is mas’ale me fiqr karne ki zarurat nahi.

Wazu ki dua

Wazu Ki Dua, Wazu karne se pehle ki Dua
WAZU KI DUA

Abu Sa’eed bin Zaid riwayat karte hai ke:

“Allah ke Rasul (ﷺ) ne irshad farmaya : ‘Uski Namaz nahi hoti jiska Wazu na ho, aur uska Wazu nahi hota jo us par Allah ka naam na le (Wazu se pehle).'”

Reference : Sunan Ibn Majah 398

Upar ki hadees se ye saaf ho gaya ke agar koi shaksh wazu karna chahe to uske lye zaruri hai ki wo wazu se pehle Allah ka naam le.

Iske lye sab se asan tarika ye hai ke jise bhi wazu karna ho wo wazu ke pehle “Bismillah” (Allah ke Naam se) Kahe.

بِسْمِ اللَّهِ 

Iske alawa Wazu se pehle ki dua kisi hadees me hamari nazar se nahi guzri, agar ap koi wazu se pehle ki dua jante hai jo sahi hadees se sabit hai, to niche comment kar ke hame aur hamare readers ko bhi bataye aur sawabe darain hasil kare.

Wazu ka Sunnat tarika

Niche apko 3 hadees milengi jinme me Allah ke Rasul (ﷺ) ke 3 ashab, Hazrat Ali, Hazrat ‘Usman, aur ‘Abdullah b. Zaid b. ‘Asim al-Ansari ne Allah ke Rasul (ﷺ) ke Wazu karne ka tarika bayan kiya hai, balke wazu kar ke dikhaya hai.

Hadees:

Al-Husain bin ‘Ali ne farmaya:

“Mere Walid ‘Ali ne mujhe Wazu ke lye pani lane ke lye kaha, to main pani lekar unke pas gaya, aur unhone apne hatho ko bartan me dalne se pehle teen bar apne hath dhoye, phir unhone teen bar kulli kar ke apna muh dhoya aur teen bar naak me pani khincha aur naak se pani ko nikala. Phir unhone apna chehra teen bar dhoya, phir apna dahina hath kohniyo samet teen bar dhoya, aur isi tarah baya hath dhoya. Phir ek bar apne sar ka masah kiya, phir apna dahina pair takhno samet teen bar dhoya phir baya pair isi tarah dhoya. Phir wo khade hue aur farmaya: ‘Mujhe bartan do.’ To maine unhe bartan diya jisme unke wazu ka kuchh pani bacha hua tha, aur unhone khade hokar us pani ko piya. Mujhe hairat hui aur jab unhe iska ehsas hua to unhone kaha: ‘Hairat mat karo, kyu ke maine tumhare baap Rasul (ﷺ) ko is tarah karte dekha,’ yane ke jis tarah wazu unhone kiya aur khade ho kar pani piya.

Reference : Sunan an-Nasa’i 95

Hadees:

Riwayat hai ke Humran bin Aban, Hazrat `Uthman bin `Affan (رضي الله عنه) ke azad karda ghulam, ne farmaya:

Maine dekha ke `Uthman bin `Affan رضي الله عنه ne masjid ke darwaze par wazu ka pani mangwaya. Unhone apne hath dhoye, phir unhone unke muh ka kulla kiya, aur naak me pani khincha aur baahar nikala; phir unhone apna chehra teen bar dhoya, phir unhone apne hath kohniyo samet teen bar dhoye, phir unhone apne sar ka masah kiya. Phir unhone apne hath apne kaan ke baahar ke hisso par phere, phir apni dadhi ke upar apne hath phere, phir unhone apne pair takhno samet teen bar dhoye. Phir wo khade hue aur do rak’at namaz padhi, phir farmaya: maine tumhare lye us tarah wazu kiya jis tarha Allah ke Rasul (ﷺ) ko wazu karte hue dekha, phir maine do rak’at namaz padhi jis tarah maine unhe padhte dekha. Phir kaha ke, Jab Allah ke Rasul (ﷺ) ne apni do rak’at namaz mukammal kar li, to unhone farmaya: ‘Jo koi bhi wazu karta hai jaisa ke maine kiya aur do rak’at namaz padhta hai ke jisme wo apna zahan bhatakne nahi deta, us namaz aur usse pichhli namaz ke darmiyan ke jitne gunah usne kiye honge wo maaf kar diye jayenge.’

Reference : Musnad Ahmad 489

Hadees:

‘Abdullah b. Zaid b. ‘Asim al-Ansari, Jo Allah ke Rasul (ﷺ) ke sahabi hai, wo riwayat karte hai:

Mujhse logo ne kaha ke hame us tarah se wazu kar ke dikhaye jis tarah Allah ke Rasul (ﷺ) wazu kiya karte the. 

To unhone pani ka bartan mangwaya, aur usme se apne hatho par pani undela aur unhe teen martaba dhoya, phir unhone bartan me hath dala aur chullu bhar pani nikala aur usi se muh me kulli ke lye pani liya aur naak me pani khincha aur is tarah se teen martaba kiya.

Unhone phir se bartan me hath dal kar pani bahar nikala aur apna chehra teen martaba dhoya, phir apna hath dala aur bahr nikala aur apna hath kohniyo samet do bar dhoya, isi tarah se dusra hath bhi kohniyo samet do bar dhoya, phir se hath dal kar bahr nikala aur apne sir par age se aur pichhe se hath phera. Uske bad unhone apne dono pair takhno samet dhoye, aur phir kaha ke Allah ke Rasul (ﷺ) is tarah se wazu kiya karte the.

Reference : Sahih Muslim 235a

Upar ki hadees me hatho ko kohniyo samet 2 bar dhone ka zikr aya hai, leqin isi hadees ka ek aur turk hai Sahih Muslim me jisme hatho ko kohniyo samet 3 bar dhone ka zikr hai, wo hadees niche di gayi hai.

Hadees:

‘Abdullah b. Zaid b. ‘Asim al-Mazini riwayat karte hai:

Unhone Allah ke Rasul (ﷺ) ko wazu karte hue dekha. Aap (ﷺ) ne apna muh dhoya, phir apni naak saaf ki, phir apna chehra 3 martaba dhoya, phir apna dahina hath 3 martaba dhoya, phir apna  baya hath 3 martaba dhoya. Phir unhone pani liya aur use apne sar par phera, aur phir apne pair saaf hone tak dhote rahe.

Reference : Sahih Muslim 236

Upar di gai ahadees ki roshni me Allah ke Rasul (ﷺ) ne jo Wazu ka Tarika sikhaya use mukhtasar alfaz me niche likha hai:

Wazu ka Sunnat Tarika:

  1. Pani undel kar hath dhona
  2. Muh Aur Naak ka kulla karna
  3. Chehre ka Dhona
  4. Hatho ko kohniyo samet dhona aur hatho ki ungliyo ka khilal karna
  5. Sar ka aur Kaan ka Masah karna
  6. Ek chullu pani thuddi ke niche se Dadhi me baha kar unglio se dadhi ko geela karna
  7. Pairo ko takhno samet dhona aur Baye hath ki chhoti ungli se Pairo ki unglio ka khilal karna.

Wazu me badan ke hisso ko kitni bar dhona hai

Sahih Bukhari me hadees maujud hai jinme wazu karte waqt badan ke hisso ko ek-ek bar dhona bhi Allah ke Rasul (ﷺ) se sabit hai, aur do-do martaba dhona bhi sabit hai, aur teen-teen martaba dhona bhi sabit hai.

Hadees:

Ibn `Abbas riwayat karte hai:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne apne badan ke hisso ko sirf ek-ek martaba dho kar wazu kiya.

Reference : Sahih al-Bukhari 157

`Abdullah bin Zaid riwayat karte hai:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne apne badan ke hisso ko do-do martaba dho kar wazu kiya.

Reference : Sahih al-Bukhari 158

Humran riwayat karte hai:

(Hazrat ‘Uthman ke ghulam) Maine Hazrat ‘Uthman bin ‘Affan ko pani ka bartan mangte hue dekha, (aur jab wo pesh kiya gaya) unhone usmese pani undela aur teen martaba apne hath dhoye, aur phir apna dahina hath bartan me dala) aur apna muh dhoya, aur apni naak me pani dala phir nikala aur istarah naak ko saaf kiya, phir unhone apna chehra aur kohniyo samet dono hatho ko teen bar dhoya, phir apne bhige hue hatho ko apne sar par phera, aur apne pairo ko takhno samet teen bar dhoya. Phir unhone kaha, “Allah ke Rasul (ﷺ) ne farmaya tha ‘Agar koi meri tarah wazu kare aur 2 rak’at namaz ada kare ke jiske darmiyan wo kisi aur chiz ka khayal na kare to uske pichhle gunah maaf kar diye jate hai.’”

Reference : Sahih al-Bukhari 159

Wazu me kya ahtiyat barte?

Ediyo ka dhona

Ediyo ka achhi tarah se dhona Wazu me itna aham hai ke Allah ke Rasul ne buland awaz se ediyo ko achhi tarah dhone ka hukm diya.

Hadees:

`Abdullah bin `Amr riwayat karte hai:

Allah ke Rasul (ﷺ) ek safar me ham se pichhe chal rahe the. Wo us halat me ham tak pahonche ke ham ‘Asr ki namaz ke lye wazu kar rahe the jiska waqt ho chuka tha, aur ham apne pairo par sirf apne geele hath pher rahe the, (yane ke apne pairo ko thik se dho nahi rahe the) to unhone hamse buland awaz ke sath mukhatib ho kar do martaba kaha, “Apni ediyo ko aag se bachao.”

Reference : Sahih al-Bukhari 163

Dadhi ko Geela karna

Wazu karte waqt dadhi ko pani se geela karna aur apni unglio ko dadhi me se pherna Huzur e Aqdas (ﷺ) ki sunnat hai. Niche dadhi ko pani se geela karne ki aur dadhi mese unglia pherne ki hadees di gai hai, ap padh kar tasalli kar sakte hai.

Hadees:

Anas ibn Malik riwayat karte hai:

Jab bhi Allah ke Rasul (ﷺ) wazu karte, wo chullu bhar pani lete, aur use apni thuddi ke niche rakhte aur use apni dadhi mese behne dete, ye kehte huwe: Is tarah mere Rab ne mujhe hukm diya hai.

Reference : Sunan Abi Dawud 145

Hadees:

‘Uthman (radi.) riwayat karte hai ke:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne wazu kiya aur apni ungliyo ko apni dadhi mubarak mese guzara.

Reference : Sunan Ibn Majah 430

Ungliyo ka khilal karna

Ungliyo ka khilal karne ka matlab apni unglio ko ek dusre ke darmiyan is tarah se guzaarna ke unke beech ki jagah mukammal taur par geeli ho jaye. 

Wazu karte waqt apko is bat ka khas dhyan rakhna hai ke hatho aur pairo ki unglio ke beech ki jagah mukammal taur par geeli ho jaye. Niche di gai hadees padh kar apko pata chal jayega ke Allah ke Rasul (ﷺ) kis tarah apne hatho aur pairo ki unglio ka khilal kiya karte the.

Hadees:

Laqit bin Sabra (radi.) riwayat karte hai:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne irshad farmaya: “Mukammal Wazu karo, apni unglio ko hatho aur pairo ki unglio ke darmiyan se guzaro, aur agar tumhara roza na ho to naak me kafi andar tak paani ko pohchao.” [Al-Arba’a ne ise nakal kiya aur Ibn Khuzaima ne ise Sahih kaha].

Reference : Bulugh al-Maram 39

Hadees:

Al-Mustawrid ibn Shaddad (radi.) riwayat karte hai:

maine Allah ke Rasul (ﷺ) ko apni chhoti ungli se pair ki unglio ka khilal karte hue dekha jab wo wazu kar rahe the. 

Reference : Sunan Abi Dawud 148

Kaano ka Masah karna

Kisi cheez ka Masah karne ka matlab use pochhna hota hai. 

Sunan Ibn Majah, Jami at-Tirmidhi, Sunan Nasai’ me hadees maujud hai ke Allah ke Nabi (ﷺ) jab bhi sar ka masah karte to apne kano ka bhi andar aur bahar se masah karte the. Isse ye baat pata chalti hai ke Kaano ka masah karna bhi Sar ka masah karne me shamil hai.

Hadees:

Miqdam bin Ma’dikarib riwayat karte hai ke:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne wazu farmaya aur apne sar ka masah kiya, aur apne kaano ka andar aur bahar se masah kiya.

Reference : Sunan Ibn Majah 442

Yaha par ek baat gaur karne ki ye hai ke apne sar ka aur kano ka masah karna to Allah ke Nabi (ﷺ) se sahi ahadees me sabit hai, leqin apni gardan ka masah karna kisi bhi sahih hadees se sabit nahi, lehaza jab apko Allah ke Rasul (ﷺ) ki sunnat ke mutabik wazu karna ho tab apko gardan ka masah karne se parhez karna chahiye.

Naak ko Saaf karna

Niche ek sahih hadees nakal ki gai hai jisme hazrat ali ne bataya hai ke wazu karte waqt naak ko saaf karne ke lye naak se pani ko khincha hai aur baye hath se naak pakad kar zor se naak se sans bahar nikalte hue sara pani bahar chhidakna hai.

Hadees:

Riwayat hai ke Hazrat ‘Ali ne wazu ke lye pani ka bartan magwaya, phir unhone apne muh aur naak ka kulla kiya (dhoya), aur unhone naak se pani ko khincha phir baye hath se naak se pani chhidka. Aisa unhone teen bar kiya phir kaha: “ Is tarah Allah ke Rasul (ﷺ) khud ko paak kiya karte the.”

Reference : Sunan an-Nasa’i 91

Wazu ke baad ki Dua

Wazu ke baad ki Dua 1
Wazu ke baad ki Dua

Upar ham Wazu ki Dua yane ke Wazu se pehle ki Dua padh chuke aur chunke Ab jab Wazu ki Dua ki baat ho hi rahi hai to kyu na Wazu ke baad ki dua kaun kaun si hai wo bhi dekh liya jaye.

Yaha par ham Wazu ke baad ki sirf ek dua ka zikr karenge kyu ke Allah ke Nabi (ﷺ) se sahih hadees me wazu ke baad ki sirf 3 duaye milti hai. Aur hamne in teeno duao ko hamari ek post me pehle hi jama kar rakha hai, agar apko shauk hai to ap un teeno duao ko yaha click kar ke padh sakte hai.

Hadees:

Riwayat hai ke Hazrat ‘Umar bin Al-Khattab Ne Farmaya:

“Allah ke Rasul (ﷺ) ne farmaya: ‘Jo koi bhi shakhs wazu karta hai, aur achhi tarah se karta hai, Uske bad padhta hai: 

 أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

Ashhadu an la ilaha ill-Allah wa ashhadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasuluh

(Mai gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi Ibadat ke kayak nahi, aur mai gawahi deta hu ke Muhammad Allah ke bande aur uske Rasul hai),” uske lye jannat ke 8 darwaze khol diye jate hai, aur wo jismese chahe usmese dakhil ho sakta hai.’”

Reference : Sunan an-Nasa’i 148

Barkato ko share kare: SunnatAzkar.com ko apne dost, ahbab ke sath share kare

Ham Ummeed karte hai ke is post me hamne wazu ka tarika Huzur e Aqdas (ﷺ) ki sahih ahadees ki roshni me mukammal taur par bata diya hai. 

Ap se Guzarish hai ke ap apne dost ahbab, azeez aur jannewalo tak bhi ise pohchaye take ye apke lye sawab e jariyah ka zariya bane.

Aisa karne me apko bilkul bhi ghabrane ki zarurat nahi hai, kyu ke SunnatAzkar.com par hamara bas ek hi irada hai ke ham apko ahtiyat ke sath parakh kar, galtiyo se pak mawad pahunchaye take ap ko wo hidayat aur ilm mile jiski apko talash hai.

Is sahi aur galat malumat se umad rahe internet ke samandar me, ap islam ki mustanad, aur sahi malumat ise khojne walo tak pahochane ka zariya bane. SunnatAzkar.com ke bare me sabko bataye ke SunnatAzkar.com par sadaqat hai, islam hai.

Allah kare ke ap ke failane se Islam ka ilam aur barkate dunya ke kone kone me faile, aur Allah Rabbul Izzat apko beshumar ajr ata farmaye.

Leave a Comment