Subah ke Azkar Aur Sham ke Azkar

Ye Subah ke azkar aur sham ke azkar hai ye jo duae hai ye Sayyidul Awwaleen wal Akhireen, Imame kaynat, Shafi ul Muznebeen, Rahmatul lil Alameen, hamare aaka Sayyiduna, wa Maulana, Imam e Azam, janab e Muhammd Rasool Allah (ﷺ) se Sahih Sanad se Sabit hai, jo hamare murshid e qamil hai.

Ye hamare nabi e pak (ﷺ) ke bataye hue azkar hai. Aur hamari is website SunnatAzkar.com par apko jo bhi hadeese milengi uski link sath me maujud hogi jis par click kar ke ap online maujud us hadees ki kitab par jakar us hadees ko padh sakte hai, aur jaha Quran ki ayat di gai hai uske sath bhi Quran.com ki link di gai hai take ap Quran ki ayat ko bhi khud padh kar tasalli kar sake. 

Garz ye hai ke galti ki koi gunjaish baki na rahe aur apko saf suthra aur kamil Quran aur Sunnat ka mawad pahunch jaye.

In Subah ke azkar aur Sham ke azkar ko yaha likhne ka maksad bas itna hi hai ke inhe follow kar ke hame akhirat ki nemate hasil ho sake. Halanke in subah ke azkar aur sham ke azkar ko padhna aksar logo ke lye thoda mushkil kam ho sakta hai leqin kyu ke huzur  (ﷺ) ne inki tarbiyat dilayi hai  islye inse akhirat ki nemate judi hui hai.

Allah Rabbul Izzat se dua hai ke in Subah ke Azkar aur Sham ke Azkar ke hamare SunnatAzkar.com par likhne, aur ap logo ke ise padhne aur ise apne dost, rishtedar aur ehbab ke sath share karne ki barkat se akhirat ke inamat se ham malamal ho jaye. Aur Allah apne rehmo karam se hame apni jannato me dakhil kare. Aameen. 

Subah ke Azkar aur Sham ke Azkar
Subah ke Azkar aur Sham ke Azkar

Yaha par apko ek alfaz ke ma’ani batana zaruri hai jise hadise Qudsi kehte hai. Kyun ke ye alfaz islam se jude mawad ke mutale me barbar apke samne ayega.

Hadise Qudsi kya hai?

Hadise Qudsi us hadis ko kaha jata hai jisme Allah ke Nabi (ﷺ) khud Allah ka irshad bayan karte hai aur ye Allah ka wo kalam hai jo sirf hadees me paya jata hai aur Quran me nahi paya jata.

Subah ke Azkar karne ka sahi waqt konsa hai?

Islam me subah kehte hai tulu e subah, yani sabah sadiq ya khatme sehri ke waqt ko, jab se din shuru hota hai. 

To agar kisi bhai ko Subah ke Azkar karne hai to wo subah ka waqt shuru hote hi kar sakta hai, bhale hi fajr ki azan abhi baki ho. Aur bad me bhi kar sakte hai, leqin jaldi padhna behtar hai.

Sham ke Azkar karne ka sahi waqt konsa hai?

Sham ka waqt islam me maghrib ka waqt shuru hone ke kuch der pehle tak hota hai. Yani ke Maghrib ki azan ke 15 se 20 minute pehle Sham ke Azkar ap padh sakte hai. Agar us waqt na padh sake to Maghrib ki namaz ke bad bhi ap Sham ke Azkar padh sakte hai.

Sunnat Azkar karna kyu zaruri hai?

أَلَا بِذِكْرِ ٱللَّهِ تَطْمَئِنُّ ٱلْقُلُوبُ

Surah Rad, Ayat 28 (Quran 13:28)

Agah ho jao! Allah ka zikr hi wo chiz hai, jisse dilo ko itminan hasil hota hai.

Hadis:

Abu Musa riwayat karte hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne irshad farmaya:” Jo shakhs Allah ka zikr karta hai uske mukable me jo shakhs Allah ka zikr nahi karta uski misal aisi hai, jaise zinda ke mukable me murda ki hoti hai.”

FAYDA:

Upar di gayi hadis se malum hua ke jo banda Allah ka Zikr karta hai wo sahi maino me zinda hai aur jo shakhs Allah ka zikr nahi karta uska dil murda ho jata hai.

Sahih al-Bukhari 6407

Abu Huraira riwayat karte hai ke Allah Ke Nabi (ﷺ) ne irshad farmaya:”Allah Farmata hai:’mai apne bande ke sath hota hu jab wo mujhe yad karta hai, aur mera nam lete hue uske honth harkat karte hai.’”

Sunan Ibn Majah 3792

FAYDA:

Is hadis se malum hua ke banda jab Allah ka zikr karta hai aur uske honth jab harkat karte hai to Allah uske sath hota hai, to aisa zikr jisme bande ke honth harkat kar rahe ho wo us zikr se behtar hai jo banda apne dil me kar raha ho.

وَٱذْكُر رَّبَّكَ كَثِيرًۭا وَسَبِّحْ بِٱلْعَشِىِّ وَٱلْإِبْكَـٰرِ

Surah Ale Imarn, Ayat 41 (Quran 3:41)

Apne Rab ko kasrat se yad kiya karo aur uski paki bayan karo subah ke waqt bhi aur sham ke waqt bhi.

يَـٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ ٱذْكُرُوا۟ ٱللَّهَ ذِكْرًۭا كَثِيرًۭا ٤١ وَسَبِّحُوهُ بُكْرَةًۭ وَأَصِيلًا ٤٢

Surah Ahzab, Ayat 41 & 42 (Quran 33:41,42)

Aye Iman walo, Allah ko kasrat se yad kiya karo, Aur Uski tarif bayan karo Subah ke waqt bhi aur Sham ke Waqt bhi.

Abdullah bin Busr riwayat karte hai ke ek shakhs ne Allah ke nabi se arz kiya:” Allah ke nabi (ﷺ), mere lye Islam ke Qawaneen boht zyada ho gaye hai, to mujhe koi aisi cheez bataiye jise mai ganth bandh lu.”

Is par Huzur e Pak (ﷺ) ne irsahd farmaya:”Apni zuban ko zikr e Ilahi se hamesha tar rakhna.”

Jami` at-Tirmidhi 3375

Kisi bhi waqt padhne ke lye Behtarin Sunnat Azkar

Upar di gayi malumat ko madde nazar rakhte hue, bande ko apne Rab ka zikr har waqt har ghadi karte rehna chahiye. Isilye yaha par hamne 3 aise zikr azkar bataye hai jinhe ap 24 ghante me kabhi bhi padh sakte hai.

سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ سُبْحانَ اللَّهِ الْعَظِيمِ

Abu Hurairah (radi.) riwayat karte hai ke Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya,”Do Alfaz aise hai jo zaban par halke hai, yad rakhne ke lihaz se, leqin mizan par boht bhari hai aur Allah ko mehbub hai: ‘Subhan-Allahi wa bihamdihi, Subhan-Allahil-Azim [Allah pak hai aur sari badaiya usi ke lye hai, Allah Azeem hai, har aib se pak hai]’.”

[Al-Bukhari and Muslim].

Riyad as-Salihin 1408

سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ

Samura b. Jundub riwayat karte hai ke Allah ke Nabi (ﷺ) ne irshad farmaya,”Behtarin alfaz 4 hai: Subahan Allah, Wa Alhamdo Lillah, Wa La Ilaha illAllahu Wa Allahu Akbar (Allah Pak hai, Tamam tarife Allah hi ke lye hai, Allah ke alawa koi aur ma’bud nahi, Allah sab se bada hai.)

Ek aur tariq hai jisme ata hai, “Allah ko 4 alfaz mehbub hai: Subahan Allah, Wa Alhamdo Lillah, Wa La Ilaha illAllahu Wa Allahu Akbar (Allah Pak hai, Tamam tarife Allah hi ke lye hai, Allah ke alawa koi aur ma’bud nahi, Allah sab se bada hai.). Isse farq nahi padta k ap konsa lafz pehle kehte ho”

Muslim ne bhi ise riwayat kiya hai.

Mishkat al-Masabih 2294

Allah ke Nabi (ﷺ) ne irshad farmaya: Mujhe Subḥānallāh, walḥamdu lillāh, wa lā ilāha illallāh, wallāhu ‘Akbar, (Allah Pak hai, Tamam tarife Allah hi ke lye hai, Allah ke alawa koi aur ma’bud nahi, Allah sab se bada hai) kehna suraj jin tamam chizo par tulu hota hai un tamam chizo se zyada mehbub hai. (Garz tamam dunya se zyada mehbub hai) 

Reference:

Muslim 4/2072.

Hisn al-Muslim 257

لا إلهَ إلاّ اللّهُ وحْـدَهُ لا شَـريكَ لهُ، لهُ المُـلْكُ ولهُ الحَمْـد، وهُوَ على كُلّ شَيءٍ قَدير

Abu Huraira riwayat karte hai:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne irshad farmaya,” Jo koi bhi kahega: “La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahul- hamd wa huwa ‘ala kulli shai’in qadir,” 100 martaba to use 10 gulam azad karwane ke barabar sawab milega; aur 100 nekiya uske amaal me likhi jayengi, aur 100 gunah uske amaal mese mitaye jayenge, aur uska ye kehna uske lye us din se lekar rat tak shaytan se dhaal ki tarah uski hifazat karega, aur koi bhi usse behtar amal nahi kar sakega siway uske jo isse zyada bar padhe.

Sahih al-Bukhari 6403

Abu Hurairah (Radi.) riwayat karte hai:

Allah ke Nabi (ﷺ) ne irshad farmaya, “Wo jo har namaz ke bad padhta hai: Subhan-Allah (Allah pak hai) 33 martaba; Al-hamdu lillah (Tamam tarife Allah hi ke lye hai) 33 martaba; Allahu Akbar (Allah sab se bada hai) 33 martaba; aur 100 martaba padhta hai: La ilaha illallahu, wahdahu la sharika lahu, lahul-mulku wa lahul-hamdu, wa Huwa ‘ala kulli shai’in Qadir (Allah ke alawa koi haqiqi ma’bud nahi hai. Wo Akela hai aur uska koi sathi nahi hai. Usi ki hukumat hai aur usiki tarif hai, aur wo har chiz par Qadir hai), uske tamam gunah maf kar diye jayenge fir chahe wo samandar ki satah par maujud jhaag jitne hi bade kyu na ho.”

[MUSLIM]

Riyad as-Salihin 1419

Subah ke Azkar aur Sham ke Azkar

Subah ke Azkar aur Sham ke Azkar ek hi hai, bas Subah aur Sham ki kuch duaye hai jinme ek do alfazo ka farq hai. 

Niche ham apko ek ek kar ke inke bare me batayenge. Azkar ke sath me inhe kitni martaba padhna hai ye bhi bataya gaya hai.

Ayatul Kursi (Quran Surah 2: Ayat 255): 1 Bar

ٱللَّهُ لَآ إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ ٱلْحَىُّ ٱلْقَيُّومُ ۚ لَا تَأْخُذُهُۥ سِنَةٌۭ وَلَا نَوْمٌۭ ۚ لَّهُۥ مَا فِى ٱلسَّمَـٰوَٰتِ وَمَا فِى ٱلْأَرْضِ ۗ مَن ذَا ٱلَّذِى يَشْفَعُ عِندَهُۥٓ إِلَّا بِإِذْنِهِۦ ۚ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ ۖ وَلَا يُحِيطُونَ بِشَىْءٍۢ مِّنْ عِلْمِهِۦٓ إِلَّا بِمَا شَآءَ ۚ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ ٱلسَّمَـٰوَٰتِ وَٱلْأَرْضَ ۖ وَلَا يَـُٔودُهُۥ حِفْظُهُمَا ۚ وَهُوَ ٱلْعَلِىُّ ٱلْعَظِيمُ

Quran 2:255

Allahu, La ilaha illa huwal hayyul qayyum. La ta’akhuzuhu sinatu wala naum. Lahu ma fis samawati wama fil ard. Man zallazi yashfa’u a’indahu, illa bi iznihi. Ya’lamu ma bayna aydihim, wama khalfahum. Wala yuhitoona bi shayim min i’lmihi, illa bima sha’a. Wasi’a kursiyyuhus samawati wal ard. Wala yauduhu hifzuhuma. Wahuwal aliyyul azeem.

Ayatul kursi ka tarjuma janne ke lye ap hamari post yaha click kar ke padh sakte hai, is post me hamne Aytul kursi ki tilawat karne ke fayde sahih hadees ki roshni me bataye hai.

Surah Ikhlas (Quran Surah 112): 3 Bar

قُلۡ هُوَ ٱللَّهُ أَحَدٌ ، ٱللَّهُ ٱلصَّمَدُ ، لَمۡ يَلِدۡ وَلَمۡ يُولَدۡ ، وَلَمۡ يَكُن لَّهُ ڪُفُوًا أَحَدٌ

Qul huw Allahu Ahad, Allahus Samad, Lam yalid walam yulad, Walam yaqun lahu Kufuwan Ahad.

Surah Falaq (Quran Surah 113): 3 Bar

قُلۡ أَعُوذُ بِرَبِّ ٱلۡفَلَقِ ، مِن شَرِّ مَا خَلَقَ ، وَمِن شَرِّ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ ، وَمِن شَرِّ ٱلنَّفَّـٰثَـٰتِ فِى ٱلۡعُقَدِ ، وَمِن شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ

Qul A’auzu birabbbil falaq, Min sharri ma khalaq, Wa min sharri ghasiqin idha waqab, Wa min sharrin Naffathati fil a’uqad, Wa min sharri hasidin idha hasad.

Surah Nas (Quran Surah 114): 3 Bar

قُلۡ أَعُوذُ بِرَبِّ ٱلنَّاسِ ، مَلِكِ النَّاسِ ، إِلَـٰهِ ٱلنَّاسِ ، مِن شَرِّ ٱلۡوَسۡوَاسِ ٱلۡخَنَّاسِ ، ٱلَّذِى يُوَسۡوِسُ فِى صُدُورِ ٱلنَّاسِ ، مِنَ ٱلۡجِنَّةِ وَٱلنَّاسِ 

Agar ap 4 Qul ka tarjuma aur 4 Qul ki tilawat karne ka fayda janna chahte hai to iske bare me hamari post Yaha click kar ke padh sakte hai, jisme 4 Qul ki tilawat karne se kaise shaytan ke hamlo se aur bure jadoo se bacha ja sakta hai wo sahih hadees ki roshni me hamne bataya hai.

Qul a’uzu biRabbin Nas, Malikin Nas, Ilaahin Nas, Min sharril waswaasil khannas, Alladhi yuwaswisu fi sudurin Nas, Minal jinnati wan Nas.

10 Bar Ye Azkar Padhe:

لا إلهَ إلاّ اللّهُ وحْـدَهُ لا شَـريكَ لهُ، لهُ المُـلْكُ ولهُ الحَمْـد، وهُوَ على كُلّ شَيءٍ قَدير

La ilaha illAllaho Wahdahu La Sharika lahu, Lahul Mulku, Wa Lahul Hamd, Wahuwa Ala kulli shayin Qadeer.

Reference: Sahih Al Bukhari 6403

3 Bar Ye Azkar Padhe:

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ.‏

Bismillahillazi La yadurru ma’smihi shayun fil ardi wala fissamai wa huwassami’ul A’lim. 

Reference: Musnad Ahmad 446

3 Bar Ye Azkar Padhe:

أَعـوذُ بِكَلِـماتِ اللّهِ التّـامّاتِ مِنْ شَـرِّ ما خَلَـق

A’uzu bikalimatillahi-ttammati min sharri ma khalaq.

Reference: Sahih Muslim 4/2080 .

3 Bar Ye Azkar Padhe:

سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ عَدَدَ خَلْـقِه ، وَرِضـا نَفْسِـه ، وَزِنَـةَ عَـرْشِـه ، وَمِـدادَ كَلِمـاتِـه

Subahan Allahi wa bihamdihi A’dada khalqihi, Wa rida nafsihi, Wa zinata A’rshihi, Wa midada kalimatihi.

Reference: Sahih Muslim 4/2090 , Sahih Muslim 6913.

3 Bar Ye Azkar Padhe:

رَضيـتُ بِاللهِ رَبَّـاً وَبِالإسْلامِ ديـناً وَبِمُحَـمَّدٍ نَبِيّـاً

Radiytu Billahi Rabba Wa bilislami deena Wabi Muhammadin-Nabiyya.

Reference: Hisn Al Muslim 87

3 Bar Ye Azkar Padhe:

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الْعَظيمَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ القَيّوُمُ وَأَتُوبُ إِلَيهِ

Astagfirullah Al Azeem Allazi La ilaha illa Huwal Hayyul Qayyum Wa atubu ilayh

Reference: Hisn Al Muslim 250

7 Bar Fajr aur Maghrib ki namaz ke bad:

اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ

Allahumma ajirni minan-naar

Reference: Mishkat al-Masabih 2396

Subah ki Dua

Subah ki Dua
Subah ki Dua

Subah ke Azkar ke alawa kuch makhsus duaye hai jinhe subah ke waqt padhna chahiye.

اللهم بك أصبحنا، وبك أمسينا، وبك نحيا، وبك نموت، وإليك النشور

Allahumma bika asbahna wabika amsayna wabika nahya wabika namootu wa ilaykan-nushur

Riyad as-Salihin 1453

أَصْـبَحْنا علـى فِطْـرَةِ الإسْلام، وَعَلـى كَلِـمَةِ الإخْـلاص، وَعلـى دينِ نَبِـيِّنا مُحَـمَّدٍ وَعَلـى مِلَّـةِ أبينـا إِبْـراهيـمَ حَنيـفاً مُسْلِـماً وَمـا كـانَ مِنَ المُشـرِكيـن

Asbahna ‘ala fitrat-il-islam, wa ‘ala kalimat-il-ikhlas, wa ‘ala deeni nabiyyina muhammadin wa ‘ala millati abayna ibrahima hanifam-musliman wama kana min-al mushrikin.

Hisn al-Muslim 90

أَصْبَحْنَا وَأَصْبَحَ الْمُلْكُ لِلَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ، لاَ إِلَهَ إلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ، رَبِّ أَسْأَلُكَ خَيْرَ مَا فِي هَذَا الْيَوْمِ وَخَيرَ مَا بَعْدَهُ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا فِي هَذَا الْيَوْمِ وَشَرِّ مَا بَعْدَهُ, رَبِّ أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْكَسَلِ وَسُوءِ الْكِبَرِ، رَبِّ أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابٍ فِي النَّارِ وَعَذَابٍ فِي القَـبْر

Asbahna wa asbahal mulku lillahi walhamdu lillahi, la ilaha ill-allahu wahdahu la sharika lahu, lahul mulku walahul hamdu wahuwa ‘ala kulli shayin qadir, rabbi asaluka khayra ma fi hazal yawmi wa khayra ma ba’duhu, wa ‘auzubika min sharri ma fi hazal yawmi wa sharri ma ba’duhu, rabbi a’uzu bika min-alkasali wasooil kibari, rabbi a’uzu bika min ‘azabin fin nari wa ‘azabin fil qabr.

Hisn al-Muslim 77

Sham ki Dua

Sham ki Dua
Sham ki Dua

Sham ke Azkar ke alawa kuch makhsus duaye hai jinhe sham ke waqt padhna chahiye.

اللهم بك أصبحنا، وبك أمسينا، وبك نحيا، وبك نموت، وإليك النشور

Allahumma bika asbahna wabika amsayna wabika nahya wabika namootu wa ilaykan-nushur

Riyad as-Salihin 1453

أَمْسَـينا علـى فِطْـرَةِ الإسْلام، وَعَلـى كَلِـمَةِ الإخْـلاص، وَعلـى دينِ نَبِـيِّنا مُحَـمَّدٍ وَعَلـى مِلَّـةِ أبينـا إِبْـراهيـمَ حَنيـفاً مُسْلِـماً وَمـا كـانَ مِنَ المُشـرِكيـن

Amsayna ‘ala fitrat-il-islam, wa ‘ala kalimat-il-ikhlas, wa ‘ala deeni nabiyyina muhammadin wa ‘ala millati abayna ibrahima hanifam-musliman wama kana min-al mushrikin.

Hisn al-Muslim 90

أَمْسَيْنَا وَأَمْسَى الْمُلْكُ لِلَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ , لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ, رَبِّ أَسْأَلُكَ خَيْرَ مَا فِي هَذِهِ اللَّيْلَةِ وَخَيْرَ مَا بَعْدَهَا وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا فِي هَذِهِ اللَّيْلَةِ وَشَرِّ مَا بَعْدَهَا رَبِّ أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْكَسَلِ وَسُوءِ الْكِبَرِ, رَبِّ أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابٍ فِي النَّارِ وَعَذَابٍ فِي الْقَبْرِ‏.‏

Amsayna wa amsal mulku lillahi wal hamdulillahi la ilaha ill-allaho wahdahu la sharika lahu, lahul mulku walahul hamdu wahuwa ‘ala kulli shayin qadir, rabbi asaluka khayra ma fi hazihi-llaylati wa khayra ma b’adaha wa a’uzubika min sharri ma fi hazihi-llaylati wa sharri ma ba’daha rabbi a’uzubika min-alkasali wa sooil kibari, rabbi a’uzubika min ‘azabin fin-nari wa azabin fil qabr.

Sahih Muslim 2723b

Barkato ko share kare: SunnatAzkar.com ko apne dost, ahbab ke sath share kare

Ham ye chahte hai ke Dua, Azkar aur Hadis ki barkate har shakhs ko ekdam durust tarike se pahunche. SunnatAzkar.com par hamara bas ek hi irada hai ke ham apko ahtiyat ke sath parakh kar, galtiyo se pak mawad pahunchaye take ap ko wo hidayat aur ilm mile jiski apko talash hai.

Ab ap is azim maqsad ka hissa ban sakte hai. Is post ko apne dost, khandan aur jannewalo ke sath share kare. Aisa karne se ap na sirf mustanad islami mawad hasil karne me unki madad karenge balke Allah se ap kabhi khatam na honewala inam bhi hasil karenge.

Is sahi aur galat malumat se umad rahe internet ke samandar me, ap islam ki mustanad, aur sahi malumat ise khojne walo tak pahochane ka zariya bane. SunnatAzkar.com ke bare me sabko bataye ke SunnatAzkar.com par sadaqat hai, islam hai.

Allah kare ke ap ke failane se Islam ka ilam aur barkate dunya ke kone kone me faile, aur Allah Rabbul Izzat apko beshumar ajr ata farmaye.

3 thoughts on “Subah ke Azkar Aur Sham ke Azkar”

  1. Pingback: Morning Azkar and Evening Azkar - SunnatAzkar

  2. Pingback: सुबह के अज़कार और शाम के अज़कार - SunnatAzkar

  3. Pingback: Sab se Asaan Wazifa aur behisab sawab - SunnatAzkar

Leave a Comment