Wazifa aisa ke jo karne me bhi asaan ho aur jiska sawab bhi behisab ho, Aur wo Wazifa hai: SubhanAllah, Alhamdulillah, Wa La ilaha ill-Allaho, Wa Allahu Akbar.
سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ
Table of Contents
Ye Wazifa karne me jitna asaan hai uske baraks akherat me milne wale ajr ke aitebar se behisab wazni hai.
Kyu ke is wazifa me Allah ki tasbih, tamheed, tahleel aur taqbeer, ye charo chize maujud hai, islye Allah ke zikr ki tasbih karne ke lye ye ek muqammal wazifa hai.
Aur is wazifa me jo is bat ka iqrar hai ke Allah ke alawa koi ma’bud nahi, in qalimat ka wazan akhirat ke tarazu me sab se zyada hai, niche iske bare me ek sahih hadees di gayi hai, ap khud bhi padhe aur logo ko bhi bataye.
Hadeese Bitaqah
‘Abdullah bin ‘Amr bin Al-‘As riwayat karte hai:
Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Yaqeenan Allah qayamt ke din puri qaynat ke samne meri ummat ke ek shakhs ko bulayega. 99 daftar gunaho ke khole jayenge, har daftar itna bada hoga ke jaha tak nazar jayegi wo daftar faila hua hoga.
Phir usse kaha jayega: ‘kya tum iska inqar karte ho? Kya jinhone iski kitabat ki unhone tum par koi zulm kiya hai?’ wo kahega: ‘Nahi mere Rab!’
phir usse kaha jayega: ‘kya tumhare pas koi uzr hai?’ wo kahega: ‘Nahi ya Rab!’
phir usse kaha jayega: ‘hamare pas tumhara ek nek amal pahuncha hai, to aj tum par koi zulm nahi kiya jayega.”
Phir ek kagaz ka tukda (bitaqah) nikala jayega jis par likha hoga:
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولَهُ
“Main gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi, aur main gawahi deta hu ke Muhammad (ﷺ) Allah ke bande aur uske Rasool hai.”
Irshad hoga ke tarazu lao. Wo kahega ke mere Rab! Itne bade bade gunaho ke daftar ke samne ye ek kagaz ke tukde ki kya haisiyat hai? Usse kaha jayega ke tum par koi zulm nahi kiya jayega.
Phir tarazu ke ek palde me uske gunaho ke daftar rakhe jayenge aur dusre palde me us kagaz ke tukde (bitaqah) ko rakha jayega, aur kagaz ka tukda un gunaho ke daftar se zyada wazani hoga, Allah ke naam se zyada wazani koi cheez nahi.”
Reference : Jami` at-Tirmidhi 2639
Upar ki hadeese bitaqah se sabit ho gaya ke ek martaba bhi Allah ki wahdaniyat ka dil se iqrar karna qaynat ki tamam chizo par bhari hai, to sochiye ke jab ap rozana kasrat se iska zikr karenge to ap akherat ke lye kitni khair ko jama kar lenge.
Tasbih e Fatima
Wo char kalimat ke jinki tasbih karne ka Bibi
Fatima (سلام الله عليها) ko bhi Allah ke Rasool (ﷺ) ne taleem di hai, jo baad me tasbih e fatima ke naam se mash-hoor ho gai, jo niche di gai hadees me ap padh sakte hai.
Hazrat `Ali bin Abi Talib riwayat karte hai:
Fatima Allah ke Rasool (ﷺ) ke pas hazir hui thi aur ap se ek khadim manga tha, phir Huzur (ﷺ) ne farmaya ke kya main tumhe ek aisi cheez na bata du jo tumhare liye us se behtar ho, sote waqt 33 martaba SubhanAllah, 33 martaba Alhamdulillah, aur 34 martaba Allahu Akbar padh liya karo. Hazrat Ali (رضی اللہ عنہ) ne kaha ke phir maine un kalmo ko kabhi nahi chhoda. Unse puchha gaya ke jange siffin ki rato me bhi nahi? Kaha ke siffin ki rato me bhi nahi.
Reference : Sahih al-Bukhari 5362
Wo Alfaz kaunse hai jo Allah ko mehboob hai?
Jo Char alfaz Allah ko bhi mehboob hai,wo hai: SubhanAllah; Alhamdulillah; La ilaha ill-Allah; Wa Allahu Akbar. Aur is baat ki daleel ap niche di gai hadees me padh sakte hai.
Samura b. Jundub riwayat karti hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya , “Sab se behtareen alfaz char hai:
SubhanAllah; Alhamdulillah; La ilaha ill-Allah; Wa Allahu Akbar.”
Ek aur Turk hai jisme hai, “Allah ko char Alfaz Sab se zyada mehboob hai: SubhanAllah; Alhamdulillah; La ilaha ill-Allah; Wa Allahu Akbar. Isse fark nahi padta ke tum kaunse alfaz pehle padhte ho.” Muslim ne ise riwayat kiya.
Reference : Mishkat al-Masabih 2294
Allah ke Rasool (ﷺ) ko kaunse alfaz Sabse zyada mehboob the?
Allah ke Rasool (ﷺ) ko bhi wahi char Alfaz sab se zyada mehboob the jo Allah ko mehboob hai. Yane ke SubhanAllah, Alhamdulillah, La ilaha ill-Allah, Allahu Akbar. Niche ap iske mutalliq hadees padh sakte hai jo Sahih Muslim aur Jami’ at-Tirmidhi dono kitabo me maujud hai.
Abu Huraira riwayat karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ
“SubhanAllah, wal-hamdulillah, wa la ilaha ill-Allah, wa Allahu Akbar,”
In Alfazo ka kehna mujhe zyada mehboob hai un tamam cheezo se jin par suraj tulu’ hota hai.
Reference : Sahih Muslim 2695
Reference : Jami` at-Tirmidhi 3597
Jo Quran yaad nahi kar sakte unke lye behtareen Wazifa
Awwal to ye hai ke apko Quran ko padhna aur samajhna seekhna chahiye. Leqin ap agar aisa karne me bilkul bhi qadir nahi hai to apke lye Rehmatul lil Alameen, shafiul muznibeen, sarapa rehmat, janabe Muhammad Mustufa (ﷺ) ne iska bhi hal bata diya hai.
Huzure Aqdas (ﷺ) ne jin logo ko Quran padhna nahi ata unhe SubhanAllah, wal-hamdulilah, wa la ilaha ill-Allah, wa Allahu Akbar ka wazifa karne ka hukm diya hai. Ap niche di gai hadees padhe.
Riwayat hai ke Ibn Abi Awfa ne farmaya:
“Ek shakhs Allah ke Rasool (ﷺ) ke pas aya aur kaha: ‘main Quran mese kuchh bhi nahi seekh sakta; Mujhe kuchh sikha dijiye jo main Quran padhne ke badle padh saku.’
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ‘Kaho:
سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
SubhanAllah, wal-hamdulillah, wa la ilaha ill-Allah, wa Allahu Akbar, wa la hawla wa la quwwata illa Billahi
Allah Paak hai, Hamd Allah ke lye hai, Allah ke siwa koi ‘ibadat ke layak nahi, Allah sab se bada hai, aur na kisi me takat hai na kuwwat siway Allah ke.'”
Reference : Sunan an-Nasa’i 924
Riwayat hai ke Ibn Abi Awfa ne farmaya:
“Ek shakhs Allah ke Rasool (ﷺ) ke pas aya aur kaha: ‘main Quran mese kuchh bhi nahi seekh sakta; Mujhe kuchh sikha dijiye jo main Quran padhne ke badle padh saku.’
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ‘Kaho:
سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِالله
SubhanAllah, wal-hamdulillah, wa la ilaha ill-Allah, wa Allahu Akbar, wa la hawla wa la quwwata illa Billahil-aliy al-azim
Allah Paak hai, Hamd Allah ke lye hai, Allah ke siwa koi ‘ibadat ke layak nahi, Allah sab se bada hai, aur na kisi me takat hai na kuwwat siway Allah ke jo buland hai, Alishan hai.'”
Phir usne kaha, “Allah ke Rasool (ﷺ) ye to Allah ke lye hai, par mere liye kya? Phir Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: “kaho: Ya Allah! Mujh par raham farma, aur mujhe rizk ataa farma, aur meri hifazat farma, Aur mujhe hidayat ataa farma.”
Phir jab wo khada hua to usne apne hath se ishara kiya (ye batane ke lye ke usne bahot kuchh seekh liya hai.) Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: isne apna hath fazeelat se bhar liya.
Reference : Sunan Abi Dawud 832
Kya ham is wazifa ke kalimat ko Aage pichhe bhi padh sakte hai?
Samurah bin Jundab se riwayat hai ke:
Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “char kalimat sab se behtareen hai, aur isse farq nahi padta ke tum in mese kaun se kalimat pehle kehte ho:
Subhan-Allah, wal-Hamdu-Lillah, wa la ilaha illallah, wa Allahu Akbar
Allah Paak hai, Hamd Allah ke lye hai, Allah ke siwa koi ‘ibadat ke layak nahi, Allah sab se bada hai.”
Reference : Sunan Ibn Majah 3811
Is Wazifa ki Fazilat:
Ka’b ibn ‘Ujra kehte hain,
” wo log jo namaz ke baad in kalimat ka wazifa 100 martaba karte hai unhe mayoos nahi kia jayega. Wo kalimat ye hai: Subhan-Allah, wal-Hamdu-Lillah, wa la ilaha illallah, wa Allahu Akbar
Allah Paak hai, Hamd Allah ke lye hai, Allah ke siw koi ‘ibadat ke layak nahi, Allah sab se bada hai.”
Reference : Al-Adab Al-Mufrad 622
Umm Haani’ ka Wazifa
Riwayat hai ke Umm Haani’ bint Abi Taalib(رضي الله عنها) ne kaha:
“Ek din Allah ke Rasool (ﷺ) mere nazdik se guzre to maine unse guzarish ki, ‘Allah ke Rasool (ﷺ), main boodhi aur kamzor ho gai hun, to mujhe kuchh neki ka kaam bata de jo main baithe baithe kar saku.’
Huzur (ﷺ) ne farmaya:”Kaho ‘SubhanAllah’ 100 martaba ke ye isma’eel ki aulado mese 100 gulamo ko azad karwane ke barabar hai;
aur kaho ‘Alhamdulillah 100 martaba ke ye 100 ghode ke jo ladako ko Allah ki raah me jihad karne ke lye le jane ke lye pure saman ke sath taiyar ho, unhe Allah ki raah me dene ke barabar hai;
aur kaho ‘Allahu Akbar’ 100 martaba ke ye 100 oont Allah ki raah me qurban karne ke barabar hai;
Aur kaho ‘La ilaha ill-Allah’ 100 martaba, ibn khalaf (Jo ‘Aasim se riwayat kar rahe hai) kehte hai, “mujhe lagta hai ke usne kaha: ‘…ye asman aur zameen ke bich ki jagah ko nekiyo se bhar deta hai, aur us din jab sare amal Allah ke pas uthaye jayenge, kisi ke amal tumse behtar nahi honge siway uske ke jisne wahi kaha ho jo tumne kaha.’”
Reference: musnad ahmad 27450
Reference: sunan nasai Al kubra 10680
is asaan wazifa ke alawa agar ap subah aur sham ke azkar seekhna chahte hai to yaha click kare.
Barkato ko share kare: SunnatAzkar.com ko apne dost, ahbab ke sath share kare
Ham Ummeed karte hai ke is post me hamne Sab se Asaan Wazifa aur uski Fazilat Huzur e Aqdas (ﷺ) ki sahih ahadees ki roshni me mukammal taur par bayan kar di hai.
SubhanAllah, wal-hamdulillah, wa la ilaha ill-Allah, wa Allahu Akbar, zaban par asaan lagne wale in alfazo ki fazilat bhi apne dekhi ke kal Qayamat ke din agar ap ke pas kuchh na hua to kam se kam ek bar in kalimat ka dil se padh lena bhi apki najaat ke lye kaafi ho sakta hai.
Ap se Guzarish hai ke aap hamari sab se asan wazifa ki post ko apne dost, ehbab aur rishtedaro ke sath zarur share kare take is wazifa ki fazilat ke bare me unhe bhi pata chale aur wo is wazifa ko rozana karna shuru kar de aur ye apke lye sawab e jariyah ka zariya bane.
Aisa karne me apko bilkul bhi ghabrane ki zarurat nahi hai, kyu ke SunnatAzkar.com par hamara bas ek hi irada hai ke ham apko ahtiyat ke sath parakh kar, galtiyo se pak mawad pahunchaye take ap ko wo hidayat aur ilm mile jiski apko talash hai.
Allah kare ke ap ke failane se Islam ka ilam aur barkate dunya ke kone kone me faile, aur Allah Rabbul Izzat apko beshumar ajr ata farmaye.