Nazar Ki Dua aur Dam ruqyah

Nazar ki dua nazre bad se bachne ke lye apko rozana to  padhna hi chahiye kyu ke ham is post me aage dekhenge ke nazre bad kaise ek hatte katte insan ko bhi bimar kar sakti hai.

leqin nazar ki dua padhna us waqt boht zaruri ho jata hai jab kisi ki buri nazar lag chuki ho. Hadees me kai jagah par buri nazar lagne ka zikr milta hai, aur uske ilaj ke taur par Nazar ki Dua padhna bhi sahi hadees se sabit hai.

Is post me ham apko wo Nazar ki dua sikhayenge jo Allah ke Nabi ne khud apne nawase Hazrat Hasan aur Hazrat Husain Alaihissalam ke lye padhi hai, aur sath hi nazre bad se bachne ke Dam ki bhi baat karenge.

Ye sari batein Quran aur Sahih Hadees ki roshni me hongi islye iske sahi hone me koi ishkal ki bat nahi hai, lehaza ap befikr ho kar is post me di gai nazar ki dua aur dam ko padh sakte hai.

Nazar ki Dua
Nazar ki Dua

If you want to read this post in english then you can click here and read Sunnah Dua for Evil Eye Protection

Kya Nazre Bad Sach Me Lagti Hai?

Hadees:

Ap (ﷺ) ne ek ladki ko dekha jiska chehre par kaala dhabba pad gaya tha to Ap (ﷺ) ne irshad farmaya ke is ladki ko dam dalwao, ise nazar lag gai hai.

Reference : Sahih al-Bukhari 5739

Fayda:

Is hadees se malum hua ke Nazare bad sach me lagti hai aur jise bhi lagti hai us ke chehre par bhi iske asrat zahir hote hai.

Nazre bad ka lagna kitna shadeed nuksan kar sakta hai iska andaza apko niche di gai Sahih Muslim ki hadees se ho jayega.

Hadees:

Ibn ‘Abbas se riwayat hai ke Allah ke Rasul (ﷺ) ne farmaya:

Nazre Bad ka lag jana sach hai, Agar koi cheez naseeb se bhi aage badh jati to wo nazre bad hoti, Aur jab tumhe nazre bad ko utarne ke lye koi shakhs ghusl ka mutalba kare to ghusl kar diya karo.

Reference : Sahih Muslim 2188

Sahih Muslim 5702

Fayda:

Sahih Muslim ki is hadees se ye sabit ho gaya ke nazre bad ka lagna sach hai. Is hadees me jo ghusl karne ki baat ayi hai wo niche di gai hadees se samajh me aa jayegi.

Hadees:

Abu Umama b. Sahl b. Hunaif ne kaha ke ‘Amir b. Rabi’a ne Sahl b. Hunaif ko nahate hue dekha aur kaha, “Allah ki kasam maine aj tak aisi chamdi nahi dekhi, aisi chamdi to kunwari ladki ki bhi nahi hoti.” 

Sahl usi waqt zameen par gir gaye aur log Allah ke Rasul (ﷺ) ke pas daude aur kaha, “Allah ke Rasul (ﷺ), kya ap Sahl b. Hunaif ke lye kuchh kar sakte hai? Ham Allah ki kasam khate hai ke wo apna sar bhi utha nahi pa rha hai” 

Unhone puchha ke kya tumhe kisi par shak hai, aur jab unhone jawab diya ke unhe ‘Amir b. Rabi‘a par shak hai to Allah ke Rasul (ﷺ) ne ‘Amir ko bulaya, aur unhe danta, aur kaha, “tum mese koi kyu apne bhai ko marna chahta hai? Tumne duaiya kalimat kyu nahi kahe? (yane ke Ma-Sha-Allah ya tabarak-Allah kehna chahiye tha) Ab Uske badle ghusl karo” 

‘Amir ne phir apna muh dhoya, hath, kohniya, ghutne, pair ki ungliya aur apne tehband ke andar dhoya, aur pani ko ek bartan me jama kiya aur Sahl ke upar dala, to wo thik ho gaye aur logo ke sath chale gaye.

Reference : Mishkat al-Masabih 4562

Fayda:

Is hadees se hame ye malum hua ke agar hame shak hai ke kisi shakhs ki nazar lagi hai to ham usse ghusl karne ko kahenge aur uska pani jise nazar lagi hai us par chhidakne se shifa ho jayegi in sha Allah. Aur jab apse ghusl ka mutalba ho to bura manne ke bajaye, ghusl kar dena chahiye.

Nazar ki Dua Jo Allah ke Rasul (ﷺ) ne Padhi

Ibn `Abbas riwayat karte hai ke:

Allah ke Rasul (ﷺ) Al-Hasan aur Al-Husain ke lye Allah ki panah manga karte the aur kehte the: “tumhare baap hazrat Ibrahim (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) Allah se ismail aur ishaq ke lye panah manga karte the in alfaz ke sath: 

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ

A’uzu bikalimatillahi-ttammah Min kulli shaytaniw-wa hammah, wamin kulli ‘ayni-llammah

Ya Allah! Main tere kamil kalimat ki panah mangta hu, tamam shayateen se, aur tamam zehrile janwaro se, aur har nazre bad se.

Reference : Sahih al-Bukhari 3371

Reference : Sunan Abi Dawud 4737

Jaisa ki abi dawud me hai, Huzur  (ﷺ) ne apne do bachcho Hasan aur Husain (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) par jab ye dua padhi to أَعُوذُ a’uzu padhne ki jagah أُعِيذُكُمَا U’izukuma padha, aur agar ap apne tamam gharwalo ke lye ye dua padh rahe ho to أَعُوذُ a’uzu padhne ke badle أُعِيذُكُم U’izukum padhe.

Nazar ki Dua Quran me

وَإِن يَكَادُ ٱلَّذِينَ كَفَرُوا۟ لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَـٰرِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا۟ ٱلذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُۥ لَمَجْنُونٌۭ

Ye kafir to ye chahte hai ke tumhe nazar laga de apni ankho ke zariye jab wo Ad-dhikr (Quran) sunte hai, aur kehte hai ke ye to sach me ek deewana hai.

Surah Al Qalam, Ayat 51 (Quran 68:51)

Fayda:

Upar di gayi Quran ki ayat me jaisa ke apne dekha, jab Allah ke Nabi (ﷺ) Quran padhte the to mushrikeen e makkah unko nazre bad lagane ki koshish karte the.

Kyu ke is ayat me nazar ka zikr hai, kai bhaiyo ka ye zati tajurba hai ke is ayat ko padhne se unhe buri nazar se shifa hasil hui hai. Lehaza agar ap chahe to Quran e kareem ki is ayat ko bhi nazar ki dua ke taur par nazar utarne ke lye padh sakte hai.

Nazar ki Dua ke taur par Dam (ruqyah) ka Padhna

Hadees:

Sahaba e kiram ne Allah ke Rasul (ﷺ) se arz kiya 

ke ham daure jahiliyyat me kuchh dam kiya karte the, Allah ke Rasul (ﷺ) Ap ka is bare me kya kehna hai?

To Allah ke Rasul (ﷺ) ne farmaya ke apne dam mujh par pesh karo, un dam ko padhne me koi shirk na ho to unke karne me koi harj nahi. 

Reference : Sahih Muslim 2200

sahih muslim 5732 International Number

Fayda:

Upar ki hadis me Huzure Aqdas (ﷺ) ne nazre bad ke ilaj ke lye daure jahiliyyat ke dam padhne ki bhi ijazat di hai.

To jab daure jahiliyyat ke dam padhe ja sakte hai to agar kisi shakhs ko apne tajurbe ke zariye ye pata chal gaya ho ke Quran ki kisi ayat ko padhne se kisi mamle me shifa ho jati hai, to us ayat ka dam (ruqyah) ke taur par padhna bhi is hadees se sabit hai.

Nazar Utarne ke lye Dam (ruqyah) karna

Upar jo Surah Qalam ayat 51 ka zikr hua, use bhi nazar utarne ke lye Dam kar sakte hai Aur isi tarah agar Quran ki kisi aur ayat ke padhne se bhi kisi ko ye pata chala ho ke buri nazar se shifa hoti hai to us ayat ko padh kar dam dalna bhi sahi hai.

Aur kyu ke upar ham sahih muslim 5732 International Number ke mutabik hadees dekh chuke hai jisme daure jahiliyyat ke dam karne ki bhi ijazat hai basharte ke usme koi shirk na ho, yane ke Allah ke alawa kisi ko bhi madad ke lye pukara na gaya ho. 

Matlab ye hai ke agar apko pata chala ho ke Quran ki kisi ayat ya phir koi aur alfazo ka Dam karne se nazre bad me shifa hoti hai to ap aisa kar sakte hai, Allah ke Rasul Muhammad (ﷺ) ne iski ijazat di hai, basharte ke us Dam me koi Shirk wale alfaz na ho.

Zehrile janwar ke katne par Dam (Ruqyah) karna

Hadees:

Abu Zubair ne kaha:

Maine Jabir b. ‘Abdullah ko ye kehte hue suna ke jab ham Nabi e Akram (ﷺ) ke sath baithe hue the tab ham mese ek ko ek bichhu ne dankh mar diya. Ek shakhs ne kaha: Allah ke Rasul (ﷺ), mai dam (ruqyah) kar sakta hu jisse shifa ho jati hai, to jawab me Huzur (ﷺ) ne kaha ke agar tummese koi shakhs apne bhai ko fayda pahoncha sakta hai to wo aisa zarur kare.

Reference : Sahih Muslim 2199a

Sahih Muslim 5731

Fayda:

Upar ki hadees me Allah ke Rasul (ﷺ) ne khuli chhoot de di hai ke jo koi bhi shakhs agar koi aisa dam (ruqyah) janta ho ke jis ke padhne se shifa ho jati ho to wo aisa kar sakta hai, balke Allah ke Rasul ne aisa karne ki targheeb dilayi.

Dam (ruqyah) karne ka Tarika

Dam yani ruqyah karne ke lye ap Quran ki jo bhi ayat, ya Nazar ki Dua, ya jin alfaz ko padhna chahe (jisme shirk na ho) unhe padhe aur phir mariz par sidhe phoonk mare. Pani par phoonk marne ka Allah ke Rasul (ﷺ) ne mana kiya hai.

Albatta ap pani ko samne rakh kar Dam ko padh sakte hai, isse us pani me un alfaz ki barkat se asar paida hoga aur us pani ko ap mariz ko de sakte hai, jiske peene se use in sha Allah shifa ho jayegi.

Dam (Ruqyah) karne ke badle me Uzrat ka lena

Niche ek hadees di gai hai wo Sahih Bukhari aur Sahih Muslim ki muttafaqun alayh hadees hai, Surah Fatiha ko dam ke taur par padhne ki badi mashhoor hadees hai. 

Hadees:

Ek martaba Allah ke Rasul (ﷺ) ke kuch sahaba رضي الله عنهم safar ke dauran arab ke kisi kabile se guzre, to un kabile walo ne un sahaba ki mehman nawazi karne se inqar kar diya. Isi dauran us kabile ke sardar ko sanp ne (ya bichhu ne) dankh mar diya, to kabile walo ne kaha ke kya tumhare pas iske ilaj ke lye koi dawai hai ya tummese koi shakhs koi dam (ruqyah) janta hai jisse iska ilaj ho sake? To sahaba ne kaha ke tumne hamse achha suluk nahi kiya islye iska ilaj karne ki tumhe kimat chukani hogi. To kabile walo ne unhe kuch bakriya dena manzur kar liya. Sahaba me se ek ne Surah Fatiha padhna aur us zakhm par thunkna shuru kiya, aur isse us shakhs ko shifa ho gai aur kabile walo ne unhe bakriya de di. Leqin sahaba رضي الله عنهم ne kaha ke ham ise tab tak nahi lenge jab tak ham iske bare me Huzur (ﷺ) se puchh nahi lete. To unhone puchha, Huzur (ﷺ) muskuraye aur kaha ke tumhe kaise pata chala ke Surah Fatiha ek dam (ruqyah) hai? Un bakriyo ko qubul kar lo aur unmese mujhe bhi do.

Reference : Sahih al-Bukhari 5736

Fayda:

Is hadees se ye sabit hota hai ke agar koi shakhs ye muahida karta hai ke main dam dalunga aur iske badle me ye nazrana lunga to wo bhi jayez hai, basharte ke usme koi shirkiya kalam na ho.

Kya ap Wazu ke baad ki dua sikhna chahte hai? to yaha click kare.

Barkato ko share kare: SunnatAzkar.com ko apne dost, ahbab ke sath share kare

Ham Ummeed karte hai ke is post me Nazar ki Dua aur Nazar ki Dua ke taur par padhe ja sakne wale Dam yane ke Ruqyah ke bare me Huzur e Aqdas (ﷺ) ki sahih ahadees ki roshni me mukammal taur par bata diya hai. 

Ap se Guzarish hai ke ap apne dost ahbab, azeez aur jannewalo tak bhi is post ko pohchaye take ye apke lye sawab e jariyah ka zariya bane.

Aisa karne me apko bilkul bhi ghabrane ki zarurat nahi hai, kyu ke SunnatAzkar.com par hamara bas ek hi irada hai ke ham apko ahtiyat ke sath parakh kar, galtiyo se pak mawad pahunchaye take ap ko wo hidayat aur ilm mile jiski apko talash hai.

Allah kare ke ap ke failane se Islam ka ilam aur barkate dunya ke kone kone me faile, aur Allah Rabbul Izzat apko beshumar ajr ata farmaye.

1 thought on “Nazar Ki Dua aur Dam ruqyah”

  1. Pingback: Sunnah Dua for evil eye protection and Ruqyah - SunnatAzkar

Leave a Comment