Durood ibrahim Hindi me tarjume ke sath

Durood Ibrahim in Roman Hindi

Allah ke Rasul (ﷺ) ne Sahaba e kiram ( رضي الله عنه) ko Durood Ibrahim sikhaya. Pura waqiya is tarah se hai ke jab Surat Al Ahzab ki ayat number 56 nazil hui:

Surah Al Ahzab 3:56

Tab sahaba ( رضي الله عنه)  ne Huzur e Aqdas (ﷺ) se daryaft kiya ke Allah ke Rasul, apne hame salam padhna to sikha diya, ab durud bhejna bhi sikha dijiye, tab Huzur (ﷺ) ne sahaba ko Durood Ibrahim sikhaya.

Durood Ibrahim ki hadees

Upar jo durood ibrahim ka mukhtasar waqiya likha hai, uski sahi hadis niche di gayi hai. Ap khud bhi padhiye aur apne dost ahbab aur rishtedaro ke sath bhi share kijiye.

Kab bin Ujrah ne mujhse mulaqat ki aur kaha,”kya main tumhe wo tohfa na du jo mujhe Rasul (ﷺ) se mila?”

Maine kaha,”ha zarur dedo.”

Kab ne kaha,”hamne Allah ke Rasul (ﷺ) se puchha ke ap par aur apke ahle bait par koi durood kaise bheje? Kyu ke Allah ne to hame namaz me ap par salam kaise bhejna hai wo to sikha diya hai.

Tab huzur (ﷺ) ne farmaya,’Kaho:

Allahumma salli ala Muhammad wa ala ale Muhammad, kama sallayta ala ibrahima wa ala ale Ibrahima, innaka hamidummajeed.

Allahumma barik ala Muhammad wa ala ale Muhammad, kama barakta ala ibrahima wa ala ale Ibrahima, innaka hamidummajeed.

SAHIH BUKHARI- HADITH NUMBER 3370

Durood Ibrahim ka Tarjuma

Durood Ibrahim Arabic me:

Durood Ibrahim Roman Hindi me:

Allahumma salli ala Muhammad wa ala ale Muhammad, kama sallayta ala ibrahima wa ala ale Ibrahima, innaka hamidummajeed.

Allahumma barik ala Muhammad wa ala ale Muhammad, kama barakta ala ibrahima wa ala ale Ibrahima, innaka hamidummajeed.

Durood Ibrahim ka Tarjuma

Ay Allah! Apni rehmat nazil farma Muhammad par aur ale Muhammad par, jis tarah tune ibrahim par aur ale ibrahim par rehmat nazil farmayi, kyu ke tu sabse zyada tarif ke layak aur buzurgi wala hai. 

Ay Allah! Barkate nazil farma Muhammad aur ale Muhammad par, jis tarha tune Ibrahim aur ale Ibrahim par barkate nazil farmayi, kyu ke tu sabse zyada tarif ke layak aur buzurgi wala hai.

Barkato ko share kare: SunnatAzkar.com ko apne dost, ahbab ke sath share kare

Ham Ummeed karte hai ke is post me hamne Durood Ibrahim, ke talluq se Huzur e Aqdas (ﷺ) ki sahih ahadees ki roshni me mukammal taur par bayan kar diya hai. 

Ap se Guzarish hai ke aap hamari is durood ibrahim ki post ko apne dost, ehbab aur rishtedaro ke sath zarur share kare take wo bhi durood ibrahim ko sahih alfazo ke sath yaad kar sake aur namaz me padh sake take ye apke lye sawab e jariyah ka zariya bane.

Aisa karne me apko bilkul bhi ghabrane ki zarurat nahi hai, kyu ke SunnatAzkar.com par hamara bas ek hi irada hai ke ham apko ahtiyat ke sath parakh kar, galtiyo se pak mawad pahunchaye take ap ko wo hidayat aur ilm mile jiski apko talash hai.

Allah kare ke ap ke failane se Islam ka ilam aur barkate dunya ke kone kone me faile, aur Allah Rabbul Izzat apko beshumar ajr ata farmaye.

isi post ke sath sath ap ek boht behtarin dua, jo dua e istiftah hai wo bhi sikh lijiye, sikhne ke lye yaha click kar ke hamari post padhe.

Leave a Comment