Dua e Qunoot ya witr ki dua in Hindi

Dua e Qunoot Witr ki namaz me padhi jane wali dua hai. Apko ye jaan kar hairani hogi ke musalmano ki aksariyat ko sahih dua e qunoot jise witr ki namaz me padhna chahiye uska ilm hi nahi hai. 

Dua e Qunoot, Dua e Qunoot in hindi
Dua e Qunoot in hindi

If you want to Learn Dua Qunoot in English, we have just the post you need, click here to learn dua Qunoot in english with translation and complete witr prayer guide!

Kya Witr ki Namaz me Dua e Qunoot ka padhna wajib hai?

Namaze Witr ki taqmeel ke lye Dua e Qunoot ka padhna wajib nahi hai. Aur jo koi bhi Dua e Qunoot padhe baghair witr ki namaz ada kare use iski qubuliyat ke bare me fiqrmand hone ki zarurat nahi hai kyu ke Dua e Qunoot to bas Witr me Dua karne ka ek mauka hai jo Allah ne hame diya hai.

Aur jab ek bar ap Dua e Qunoot ka tarjuma padh lenge to uske bad ap Witr ki namaz me Dua e Qunoot padh kar duniya aur akherat ki bhalaiya Allah se mangne ka ye mauka kabhi nahi chhodenge.

Dua e Qunoot aur Qunoote Naazilah Me Kya Farq Hai?

Musalmano ki aksariyat witr ki namaz me jis dua ko Dua e Qunoot samajh kar padh rahi hoti hai wo asal me Dua e Qunoot nahi balke Qunoote Naazilah hai. Ye do alag alag dua hai. Qunoote naazilah ki dua kafiro par baddua karne ke lye padhi jati hai, aur ise ap chahe to witr me padh sakte hai ya phir farz namaz ki akhri rakat me ruku ke bad padh sakte hai, dhyan rahe ki ye Qunoote Naazilah hai, dua e Qunoot nahi.

Ab Sawal ye ata hai ke Dua e Qunoot kaunsi hai?

Dua e Qunoot wahi hai jise Allah ke nabi (ﷺ) Qunoot e Witr ke taur par talim farmayi hai, jo niche di gayi hadees me ap padh sakte hai.

Hadees:

Hasan Radi. farmate hai ke Allah ke Rasul (ﷺ) ne mujhe kuch kalimat witr me Qunoot me padhne ke lye sikhaye wo ye hai:

اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ إِنَّكَ تَقْضِي وَلاَ يُقْضَى عَلَيْكَ وَإِنَّهُ لاَ يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ

Allahumma ihdini fiman hadayta wa ‘afini fiman afayta wa tawallani fiman tawallayta wa barik li fima a’tayta, wa qini sharra ma qadayta, fa innaka taqdi wa la yuqda ‘alayk, wa innahu la yadhilluman walayta, tabarakta Rabbana wa at’alayt 

Tarjuma:

Ya Allah, Mujhe Hidayat dekar unme Shamil kar de jinhe tune hidayat di. Aur Mujhe afiyat ata kar ke unlogo mese kar de jinhe tune afiyat ata ki. Aur mujhe apna dost bana le aur apne dosto me mujhe shamil kar le. Aur jo kuch tune diya hai usme mujhe barkat de, aur mujhe us burai se bacha jiske hone ka tune faisla kiya hai. Beshak tu hi hukm deta hai aur koi tujh par hukm nahi kar sakta, aur beshak wo kabhi bhi zaleel nahi hota jisse tune dosti ki ho. Tu Mubarak hai aye hamare Rab, aur Buland hai.

Reference : Sunan an-Nasa’i 1745

Dua E Qunoot ke Badle Kya padhe?

Dua e Qunoot hame zarur sikhni chahiye. Duniya me boht kam log hai jinhe Dua e Qunoot yaad hai. To hame is dua ko zarur sikhna chahiye jiske witr ki namaz me padhne ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne targhib dilayi hai.

Ab sawal ye uthta hai ke agar hame Dua e Qunoot nahi ati to ham kya padhe? 

To iska sidha sa jawab hai k Dua e Qunoot ek dua hai, aur agar kisi ko ye Dua nahi ati to use chahiye ki wo koi aur Dua padhe. Kyu ke Dua ke badle Dua hi padhi jayegi. Jab tak apko Dua e Qunoot nahi yaad ho jati, Ap Dua e Qunoot ke badle ye dua padh sakte hai:

رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ

Rabbanā ātinā fid-dunyā ḥasanah wa fi ‘l-ākhirati ḥasanah wa qinā `adhāban-nār.

Ye dua Sahih Muslim me maujud hai, niche iski hadees di gayi hai, ap iski link par click kar ke tasdeek bhi kar sakte hai.

Hadees:

Anas radi. Se riwayat hai ke Allah ke Nabi (ﷺ) in alfazo ke sath Dua manga karte the:

رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ

” Aye hamare Rab, hame is duniya ki bhalai ata farma, aur hame akhirat ki bhalai ata farma, aur aag ke azab se hamari hifazat farma.”

Reference : Sahih Muslim 2690b

Yaha par hamare kai bhaiyo ko ye ghalatfahmi hai ke agar unhe Dua e Qunoot nahi ati to uske badle wo Surah Ikhlas padh sakte hai, jab ki aisa nahi hai. Bhaiyo Dua e qunoot ek dua hai aur jab tak apko ye nahi aa jati, apko iske badle koi aur dua hi padhni chahiye aur islye hamare Nabi (ﷺ) Ne jo dua sikhayi wo upar di gai hai, ap use hi padhe.

Dua e Qunoot ke bad kya padhe?

fadlus-salat al-an-nabee nam ki kitab jo Qadi ismail Maliki al mutawaffa 287 hijri, ne likhi hai, usme apko sahi sanad ke sath riwayate milengi ke sahaba radi. Aur tabein ikram Dua e Qunoot padhne ke bad durud sharif bhi padha karte the.

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ

Ap ko durud sharif ke taur par pura darud e ibrahim padhne ki zarurat nahi, agar ap padhe to boht behtar hai, leqin ap sirf “Allahumma Salli ‘Ala Muhammad Wa ‘Ala Aali Muhammad” itna durud Sharif bhi padh sakte hai.Ye bhi ek muqammal durud hai jaisa ke ap niche di gayi hadees me padh kar malum kar sakte hai.

Hadees:

Zaid bin Kharija kehte hai ke maine Allah ke Nabi (ﷺ) se pucha aur unhone farmaya:” Mujh par salawat bhejo aur duao ko kasrat se kiya karo, aur kaho Alahumma salli ‘ala Muhammad wa ‘ala ali Muhammad. 

Reference : Sunan an-Nasa’i 1292

Dua e Qunoot ko witr ki namaz me ruku se pehle padhna hai ya ruku ke bad?

Dua e Qunoot ko witr ki akhri rakat me ruku se pehle hi padhna chahiye. Niche ap Sahih Bukhari ki Hadees padh sakte hai jisme apko ye chiz aur wazeh ho jaegi.

Hadees:

Hazrat Asim riwayat karte hai ke maine Anas bin Malik radi. Se Qunoot ke bare me pucha. 

Anas radi. Ne farmaya ke Dua e Qunoot padhi jati thi. 

Maine pucha ke ruku se pehle ya uske bad? 

Apne farmaya ke ruku se pehle.

Asim ne kaha ke ap hi ke hawale se fala shakhs ne khabar di hai ke apne ruku ke bad farmaya tha.

Uska jawab Hazarat Anas radi. Ne ye diya ke aisa kehne wale ne ghalat samjha. Allah ke Rasul (ﷺ) ne sirf ek mahina Qunoot ko ruku ke bad padha hai. Aur farmaya ke Rasul (ﷺ) ne 70 Qariyo ke kareeb mushriko ki ek qaum ki taraf unko taleem dene ke lye bheje the. Ye log unlogo se alag the jin par ap (ﷺ) ne baddua ki thi aur inke aur Huzur (ﷺ) ke bich ek muahida hua tha. Leqin in mushriko ne ahad shakni ki to huzur (ﷺ) ek mahine tak Qunoot padhte rahe aur in par baddua karte rahe.

Reference: Sahih al-Bukhari 1002

Witr ki Namaz ka tarika

Witr ki namaz jise raat ki namaz bhi kehte hai, ise aam taur se 3 rakato me padha jata hai. In 3 rakat ko maghrib ki 3 rakat se mukhtalif tarike se padhna hota hai, jo aage anewali hadees sharif se sabit ho jayega. 

witr ki namaz ko padhne ke lye 2 tarike hai:

2 rakat namaz padhe aur fir alag se 1 rakat padh kar 3 rakat mukammal kare. Ya phir

Ek salam se 3 rakat namaz padhe leqin usme dusri rakat me tashahhud me na baithe. Dusri rakat ke Dusre sajde ke bad Tashahhud me baithe baghair ap sidha tisri rakat ke lye khade ho jaye aur phir namaz ko muqammal kare.

Hadees:

Abdulla ibn Umar Radi. riwayat karte hai ke Allah ke Nabi (ﷺ) ne irshad farmaya:”Raat ki namaz do do rakat hai, aur jab tu khatam karna chahe to ek rakat witr padh le jo sari namaz ko taak bana degi. 

Qasim bin muhammad ne bayan kiya ke hamne boht so ko teen rakat witr padhte bhi paya hai, aur teen ya ek rakat witr sab jayaz hai, aur mujhe ummeed hai ke kisi me qabahat na hogi.”

Reference : Sahih al-Bukhari 993

Nafe’ se riwayat hai ke hazrat Abdullah bin Umar radi. Witr ki jab teen rakate padhte to do rakat padh kar salam pherte, yaha tak ke zarurat se baat bhi karte.

Reference : Sahih al-Bukhari 991

Witr ki Namaz me Dua E Qunoot ko kab padhna chahiye?

jab ap 3 rakat witr padh rahe ho aur tisri rakat ke lye khade ho jaye, ya phir ap 1 rakat witr padh rahe ho, dono hi surato me ap niche bataye gaye kisi bhi ek tarike par amal kar sakte hai.

Surah fatiha ke bad surat milane ke bad sath hi Dua e Qunoot padh le.

Ya phir, Surah fatiha ke bad surat milane ke bad Allahuakbar keh ke hath buland kare aur dubara se hath bandh le aur Dua e Qunoot padhe.

Dua e qunoot padhne ke pehle rafa dayn karna hazrat Umar radi. Se sabit hai. (Musannaf Ibn Abi Shayba: 7021-25)

Kya Dua E Qunoot padhte waqt hath uthane chahiye?

Jaise dua karne ke lye hath uthate hai, Dua e Qunoot padhte waqt us tarah hath nahi uthane chahiye kyu ke Huzure Aqdas (ﷺ) Dua e Qunoot padhte waqt hath nahi uthate the, leqin jab Qunoote Naazilah padhte us waqt haath uthate the. Ye baat niche di gayi hadees se aur wazeh ho jaegi.

Hadees:

Abdullah ibn Abbas riwayat karte hai ke Allah ke Rasul (ﷺ) ne zohar, asar, maghrib, isha aur fajar me ek mahine tak musalsal qunoot padhi. Jab akhri rakat me sami Allahu liman hamida kehte to Ap (ﷺ) bani sulaym ke kuch qabail Ri’l, Dakhwan aur Usayya ke lye bad-dua karte aur jo log ap ke piche hote wo aameen kehte.

Reference : Sunan Abi Dawud 1443

Barkato ko share kare: SunnatAzkar.com ko apne dost, ahbab ke sath share kare

Ham Ummeed karte hai ke Dua E Qunoot ke aitebar se hamne apke sare sawalo ke jawab de diye hai. Ap khud bhi is mubarak dua ko sikhe jiske padhne ki khud Huzur e Aqdas (ﷺ) ne ta’lim farmayi hai, aur ap apne dost ahbab, azeez aur jannewalo tak bhi ise pohchaye take ye apke lye sawab e jariyah ka zariya bane.

Aisa karne me apko bilkul bhi ghabrane ki zarurat nahi hai, kyu ke SunnatAzkar.com par hamara bas ek hi irada hai ke ham apko ahtiyat ke sath parakh kar, galtiyo se pak mawad pahunchaye take ap ko wo hidayat aur ilm mile jiski apko talash hai.

Ab ap is azim maqsad ka hissa ban sakte hai. Is post ko apne dost, khandan aur jannewalo ke sath share kare. Aisa karne se ap na sirf mustanad islami mawad hasil karne me unki madad karenge balke Allah se ap kabhi khatam na honewala inam bhi hasil karenge.

Is sahi aur galat malumat se umad rahe internet ke samandar me, ap islam ki mustanad, aur sahi malumat ise khojne walo tak pahochane ka zariya bane. SunnatAzkar.com ke bare me sabko bataye ke SunnatAzkar.com par sadaqat hai, islam hai.

Allah kare ke ap ke failane se Islam ka ilam aur barkate dunya ke kone kone me faile, aur Allah Rabbul Izzat apko beshumar ajr ata farmaye.

2 thoughts on “Dua e Qunoot ya witr ki dua in Hindi”

  1. Pingback: Dua Qunoot Or Witr Dua In English with meaning and benefits - SunnatAzkar

  2. Pingback: दुआ ए क़ुनूत हिंदी तर्जुमा के साथ - SunnatAzkar

Leave a Comment