Dua e istiftah

Dua e istiftah jise Sana bhi kaha jata hai, Namaz ki takbir kehne ke baad, aur Quran shuru karne se pehle ise padha jata hai. Kyu ke ise Namaz ke Shuru me padha jata hai islye ise Dua e istiftah yaneke Namaz ko kholne wali Dua ya Sana bhi kehte hai.

Dua e istiftah teen tarah ki Duaein milti hai aur teeno Sahih Hadees se sabit hai, matlab in teeno duao mese ap jise chahe us dua ko namaz ki takbir kehne ke baad, Quran shuru karne se pehle padh sakte hain.

Dua e istiftah ki pehli Dua:

DUA E ISTIFTAH 1
DUA E ISTIFTAH 1

Ummul Mu’minin Hazrat Aisha aur Abu Sa’eed Al-Khudri se ye dua e istifta sabit hai aur Abu Dawud, tirmizi, ibn majah, mishkat al masabih aur sunan nasai me inki hadees maujud hai.

Ummul Mu’minin, Hazrat Aisha riwayat karti hai:

Jab Allah ke Rasul (ﷺ) apni namaz shuru karte, to kehte: 

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَى جَدُّكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ

“Subahanka Allahumma Wa bi hamdika, wa tabarak ismuka, wa ta’ala jadduka, wa la ilaha ghairuk”

Teri Paaki hai, aye Allah! Aur teri Hamd hai, aur tera naam babarkat hai, aur teri azmat buland hai, aur tere siwa koi ma’bood nahi.

Reference : Sunan Abi Dawud 776

Reference : Jami` at-Tirmidhi 243

Reference : Mishkat al-Masabih 815, 816

Reference : Sunan Ibn Majah 806

Riwayat hai ke Abu Sa’eed Al-Khudri farmate hai:

“Allah ke Rasool (ﷺ) apni namaz shuru karne se pehle kehte:

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَى جَدُّكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ

“Subahanka Allahumma Wa bi hamdika, wa tabarak ismuka, wa ta’ala jadduka, wa la ilaha ghairuk”

Teri Paaki hai, aye Allah! Aur teri Hamd hai, aur tera naam babarkat hai, aur teri azmat buland hai, aur tere siwa koi ma’bood nahi.

Reference : Sunan Ibn Majah 804

Reference : Sunan an-Nasa’i 899

Reference : Sunan an-Nasa’i 900

Dua e istiftah ki Dusri Dua:

DUA E ISTIFTAH 2
DUA E ISTIFTAH 2

Ibn ‘Umar riwayat karte hai:

Jab ham Allah ke Rasool (ﷺ) ke pichhe namaz padh rahe the, tab logo mese ek shakhs ne kaha: 

اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيلاً

Allahu Akbar kabeera, wa alhamdu lillahi kaseera, wa subhan Allahi bukrat-awwa aseela

Allah Waqai me boht bada hai, aur Allah ki ta’reef hai kasrat ke sath, Aur Allah ki shaan hai, subah bhi aur sham bhi.

Allah ke Rasool (ﷺ) ne kaha: kisne ye alfaz kahe? To logo mese ek shakhs ne kaha ke maine (wo alfaz kahe) To Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: in alfazo ne mujhe hairat me dal diya kyu ke inke lye Jannat ke darwaze khol diye gaye.

‘Umar ne kaha: Jab se maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko in alfazo ke bareme ye kehte suna hai tab se maine inhe chhoda nahi hai.

Reference : Sahih Muslim 601

Dua e istiftah ki Teesri Dua:

DUA E ISTIFTAH 3
DUA E ISTIFTAH 3

Abu Huraira riwayat karte hai:

Allah ke Rasool (ﷺ) Takbir aur Qur’an ki qirat ke damiyan khamosh rehte the, aur khamoshi ka wo waqfa chhota hua karta tha. Maine Allah ke Rasool (ﷺ) se kaha ke mere maa baap ap par qurban jaye! Ap takbir aur qirat ke darmiyan kya padhte hai? Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya ke main kehta hu,

اللَّهُمَّ بَاعِدْ بَيْنِي وَبَيْنَ خَطَايَاىَ كَمَا بَاعَدْتَ بَيْنَ الْمَشْرِقِ وَالْمَغْرِبِ، اللَّهُمَّ نَقِّنِي مِنَ الْخَطَايَا كَمَا يُنَقَّى الثَّوْبُ الأَبْيَضُ مِنَ الدَّنَسِ، اللَّهُمَّ اغْسِلْ خَطَايَاىَ بِالْمَاءِ وَالثَّلْجِ وَالْبَرَدِ

Allahumma, baa`id baini wa baina khatayaya kama baa`adta bain-al-mashriqi wal-maghrib. Allahumma, naqqini minal khataya kama yunaqqa th-thawb-ul-abyadu min-ad-danas. Allahumma-ghsil khatayaya bil-maa’i wa th-thalji wal-barad 

Ya Allah! Mujhe mere gunaho se is tarah door kar de jis tarah mashrik aur maghrib ko ek dusre se door kar diya jata hai aur mujhe gunaho se us tarah paak kar de jis tarah safed kapde ko dho kar gandagi se paak kar diya jata hai. Ya Allah! Mere gunhao ko dho de pani, barf aur thand se.

Reference : Sahih al-Bukhari 744

Reference : Sahih Muslim 598a-b

Raat ki Namaz ke lye Dua e istiftah

Raat ki namaz yane ke Salat-ul-layl me Allah ke Nabi (ﷺ) ne alag se dua e istiftah padhi hai, lehaza ap agar chahe to ise seekh kar padh sakte hai jab ap salat-ul-layl padhe, ya phir ap upar di hui dua e istiftah mese bhi koi ek padh sakte hai, ye sab jayaz hai.

Raat ki Namaz ke lye pehli Dua e istiftah

DUA E ISTIFTAH 4
DUA E ISTIFTAH 4

‘Abd al-Rahman b. ‘Auf riwayat karte hai:

maine ‘A’isha (سَلَامُ ٱللَّٰهِ عَلَيْهَا)  , Ummul Mu’minin, se un alfazo ke bare me puchha jo Allah ke Rasool (ﷺ) padhte the jab wo raat ki namaz ke lye khade hote. Unhone farmaya: Jab Huzur (ﷺ) raat me namaz padhne ke lye khade hote to wo apni namaz ki shuruat in alfazo se karte: 

اللَّهُمَّ رَبَّ جِبْرَائِيلَ وَمِيكَائِيلَ وَإِسْرَافِيلَ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ عَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ أَنْتَ تَحْكُمُ بَيْنَ عِبَادِكَ فِيمَا كَانُوا فِيهِ يَخْتَلِفُونَ اهْدِنِي لِمَا اخْتُلِفَ فِيهِ مِنَ الْحَقِّ بِإِذْنِكَ إِنَّكَ تَهْدِي مَنْ تَشَاءُ إِلَى صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ

Allahumma Rabba jibraeela wa mikaeela wa israfeela fatira-s-samawati wal ardi ‘alim-al ghaybi wa-sh-shahadati anta tahkumu bayna ‘ibadika fima kanu feehi yakhtalifoon-ahdini li-ma-akhtulifa feehi minal haqqi bi iznika innaka tahdi man tashau ila sirat-im-mustaqeem.

Ya Allah! Jibraeel, Mikaeel aur israfeel ke Rab, asmano aur zameen ke banane wale, ghaib aur zahir ko jannewale, tu apne bando ke darmiyan unke ikhtilafat ka faisla farmata hai, tu apni ijazat se haq ke bare me mukhtalif khayalo me mujhe hidayat de, Kyu ke wo tu hi hai jo jise chahta hai sidhe raste par chalne ki hidayat deta hai.

Reference : Sahih Muslim 770

Raat ki Namaz ke lye Dusri Dua e istiftah

sahih hadees me kam se kam 2 dua milti hai jo Allah ke Nabi (ﷺ) ne khususan Raat ki namaz me istiftah ke taur par padhi hai, upar ap ek dua padh chuke hai, dusri dua ke lye nichi di gai hadees padhe.

Ibn `Abbas riwayat karte hai:

Jab bhi Allah ke Nabi (ﷺ) raat ki namaz (tahajjud ya salat-ul-layl) padhte to wo kehte, 

اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ نُورُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، وَلَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ قَيِّمُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، وَلَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، وَمَنْ فِيهِنَّ أَنْتَ الْحَقُّ، وَوَعْدُكَ الْحَقُّ وَقَوْلُكَ الْحَقُّ، وَلِقَاؤُكَ الْحَقُّ، وَالْجَنَّةُ حَقٌّ، وَالنَّارُ حَقٌّ، وَالنَّبِيُّونَ حَقٌّ، وَالسَّاعَةُ حَقٌّ، اللَّهُمَّ لَكَ أَسْلَمْتُ، وَبِكَ آمَنْتُ، وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ، وَإِلَيْكَ أَنَبْتُ، وَبِكَ خَاصَمْتُ، وَإِلَيْكَ حَاكَمْتُ، فَاغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ، وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ، أَنْتَ إِلَهِي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ

Allahumma laka alhamdu anta noor-us-samawati wal ardi, wa lak-alhmadu anta qayyim-us-samawati wal ardi, wa lak-alhamdu anta rabb-us-samawati wal ard, wa man feehinna ant-al haqq, wa w’aduk-al haqqu wa qawluk-al haqqu, wa liqawuk-al haqqu, wal jannatu haqqun, wannaru haqqun, w-an-nabiyyuna haqqun, wa-s-sa’atu haqqun, allahumma laka aslamtu, wabika aamantu, wa ‘alayka tawakkaltu, wa ilayka anabtu, wabika khasamtu, wailayka hakamtu, faghfirlee ma qaddamtu wama akhkhartu, wama asrartu wama a’alantu, anta ilahi, la ilaha illa anta.

Ya Allah! Tamam tareef tere lye hai. Tu asmano aur zameen ka noor hai, aur tama tareefe tere lye hai, tu asmano aur zameen ka nigahban hai, tamam tareef tere lye hai, tu hi hai asmano aur zameen aur jo kuchh un me hai un ka Rab. tu hi haq hai aur tera wada haq hai, aur tera kalam haq hai, tujhse mulaqat haq hai aur jannat haq hai, aur jahannam haq aur tamam ambiya haq hai, aur qayamat haq hai. Ya Allah! Main tere samne sar tasleem kham karta hu aur tujh par iman lata hu aur tujh par bharosa karta hu aur teri taraf tauba karta hu aur teri rah me ladta hu. Aur tu tere huqm se mere pichhle aur agle gunaho ko maaf farma aur wo gunah jo maine poshida ya ailaniya kiye ho, main teri hi ibadat karta hu, tere siwa koi ibadat ka haqdar nahi.

Reference : Sahih al-Bukhari 7499

Kaun si Dua e istiftah Sahi hai?

Allah ke Rasool (ﷺ) ka irshad hai ke jab tum namaz shuru karte ho to takbir kehne ke baad Allah ki tahmeed aur tamjeed bayan karo, yane ke Allah ki tarif karo aur Allah ki Shaan bayan karo. Aisa karne ke lye apko ye dua padhni hogi:

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَى جَدُّكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ

“Subahanka Allahumma Wa bi hamdika, wa tabarak ismuka, wa ta’ala jadduka, wa la ilaha ghairuk”

Teri Paaki hai, aye Allah! Aur teri Hamd hai, aur tera naam babarkat hai, aur teri azmat buland hai, aur tere siwa koi ma’bood nahi.

Iske alawa jitni dua e istiftah maujud hai ap wo bhi padh sakte hai, leqin kyu ke upar di gai dua e istiftah me Allah ki tamheed aur tamjeed dono behtarin tariqe se bayan hoti hai, lehaza apko yehi dua, dua e istiftah ke taur par padhni chahiye. 

Main Farz Namaz me der se Shamil hua, kya mujhe Dua e istiftah Padhni chahiye?

Dekhiye, dua e istiftah sunnat hai, lehaza agar ap ko lagta hai ke apke pas itna waqt hai ke imam ke ruku me jane se pehle ap dua e istiftah bhi padh lenge aur surah fatiha bhi padh lenge to apko dua e istiftah zarur padhni chahiye.

Aur agar apko lagta hai ke aisa karna mushkil hai to ap dua e istiftah na padhe, aur sidha surah fatiha padhe kyu ke surah fatiha padhe baghair koi namaz nahi hoti.

Agar ap Azan aur Iqamat ke alfaz seekhna chahte hai to yaha click kare, aur agar ap azan ke baad ki dua seekhna chahte hai to yaha click kare.

Barkato ko share kare: SunnatAzkar.com ko apne dost, ahbab ke sath share kare

Ham Ummeed karte hai ke is post me hamne Dua e istiftah ke talluq se Huzur e Aqdas (ﷺ) ki sahih ahadees ki roshni me mukammal taur par bayan kar diya hai. 

Ap se Guzarish hai ke aap hamari is dua e istiftah ki post ko apne dost, ehbab aur rishtedaro ke sath zarur share kare take alag alag tarah ki dua e istiftah aur uske maine ke bare me unhe bhi pata chale aur unka ise padhna aur yaad karna apke lye sawab e jariyah ka zariya bane.

Aisa karne me apko bilkul bhi ghabrane ki zarurat nahi hai, kyu ke SunnatAzkar.com par hamara bas ek hi irada hai ke ham apko ahtiyat ke sath parakh kar, galtiyo se pak mawad pahunchaye take ap ko wo hidayat aur ilm mile jiski apko talash hai.

Allah kare ke ap ke failane se Islam ka ilam aur barkate dunya ke kone kone me faile, aur Allah Rabbul Izzat apko beshumar ajr ata farmaye.

Leave a Comment