Azan ke baad ki dua

Azan ke baad ki dua ki is post me ham azan ke baad ki dua jise Wasila ki dua bhi kehte hai uske bare me, aur azan ke baad ki dua yane ke aam taur par jaise ham dua kar rahe hote hai us tarah ki dua azaan ke baad karne ki fazilat ke bare me ilm hasil karenge.

Niche hadees di gai hai, jisme wasila ki dua ka ziqr hai.

azan ke baad ki dua
azan ke baad ki dua

‘Abdullah b. Amr b. al-As riwayat karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

Jab tum Mu’azzin ko suno, to azan ka jawab dene ke lye jo muazzin kehta hai use dohrao, phir mujh par darood sharif padho, jo ek dafa mujh par darood sharif padhega, Allah ta’ala us par 10 rehmate nazil farmayega, phir Allah se mere lye wasila ka sawal karo, wasila jannat me wo makaam hai jo Allah ke nek bando mese sirf kisi ek ko hi milega,  aur main ummeed karta hu ke shayad wo main hu. Jo koi bhi mere lye dua karta hai ke mujhe Wasila mile, to meri shafa’at uske lye wajib ho jayegi.

Sahih Muslim 849

Reference : Sahih Muslim 384

Reference : Mishkat al-Masabih 657

Upar ki hadees me Wasile ki Dua ka zikr to hai leqin sahih Muslim me Wasile ki dua maujud nahi hai. Wasile ki dua apko Sahih bukhari ki hadees me milegi jo niche di gayi hai.

Jabir bin `Abdullah riwayat karte hai:

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya, “Agar koi shakhs Azan sunne ke baad:

Allahumma Rabba hadhihi-d-da`watit-tammah, was-salat-il qaimah, aati Muhammada nil-wasilata wal-fadilah, wab`ath-hu maqaman mahmuda nil-ladhi wa`adtahu

اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ

Ya Allah! Is kamil da’wat aur Qayam hone wali namaz ke Malik, Muhammad (ﷺ) ko  Wasila aur fazilat ataa farma,  aur unhe jannat me wo maqam e mahmud ataa farma jiska tune unse waada kiya hai.

kehta hai, to uske lye qayamat ke din meri shafa’at wajib ho jayegi.

Reference : Sahih al-Bukhari 614

Upar jo hadees me wasila ki dua ayi hai, uske akhir me “Innaka la tukhlifu’l-miad”  ye alfaz bhi Sunan Baihaqi Al Qubra me sahih sanad ke sath maujud hai.

Iske alawa is dua me jo alfazo ka izafa kiya gaya hai jaise darajata rafiyya aur sath me dusre alfaz jo sahih hadees se sabit nahi hai. Lehaza ap wasila ki dua wahi padhe jo upar likhi hui hai.

Azan ke baad ki Dua

Tirmizi me azan ke baad ki dua ke bare me  hadees hai jo niche di gai hai, ap bhi padhe aur apne dost, ehbab, risthedaro ko bhi bataye.

Anas bin Malik riwayat karte hai ke:

Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Azan aur iqamat ke darmiyan me mangi gai dua kabhi radd nahi hoti.”

Reference : Jami` at-Tirmidhi 212

Jaisa ke dusri ahadees me ata hai ke farz namaz ke baad ki dua radd nahi hoti, aur digar awqaat ka bhi zikr milta hai, leqin ye azan aur iqamat ke darmiyan ka waqt dua ke lye kafi khaas hai.

Lehaza agar aap masjid me jaldi pahonch gae aur apne 2 rak’at nafil bhi adaa kar li, to farz namaz ki iqamat kahe jane tak jo waqt hai use aap duao me guzare! Aur azan ke baad ki dua ka ehtemam kare.

Dua Kabhi Rad Nahi hoti

Hazrat Sa’eed se marvi hai ke:

Allah ke Rasool (ﷺ)ne farmaya, jo musalman koi aisi dua kare jisme gunah aur kata rehmi ka koi pehlu na ho, Allah use 3 mese koi 1 cheez zarur ata farmata hai, ya to fauran hi uski dua qubul kar li jati hai, ya akhirat ke lye zakhirah kar li jati hai, ya uski koi taqleef door kar di jati hai. Sahaba ne arz kiya, ke is tarah to phir ham dua me boht kasrat karenge? Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya ke Allah tumse bhi zyada kasrat wala hai.

Reference: Musnad Ahmad 11150

Upar ki hadees se ye saaf ho gaya ke, ya to Allah paak, mangnewale ko wahi ata kar deta hai jo usne manga hai, ya usse behtar cheez ata karta hai, ya uski us dua ke badle uski koi taqleef usse door kar deta hai, ya to us dua ko uske lye akhirat ka zakhira bana deta hai, yane ke uska badla usko akhirat me diya jayega.

Ye sun kar jab sahaba ne Allah ke nabi (ﷺ) se arz kiya ke agar dua karne ke itne fayde hai to phir ham to boht kasrat se dua kiya karenge, murad ye ke phir jab ham itni kasrat se dua kiya karenge to Allah ke yaha se kya mamla kiya jayega? Jiske jawab me Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke Allah tumse zyada kasrat wala hai, matlab ye ke tum mangte hue thak jaoge leqin Allah tumhe ata karte hue nahi thakega. Alhamdu Lillah.

Agar aap Azan aur Iqamat ke kalimat seekhna chahte hai to yaha click kar ke hamari post me seekh sakte hai. Aur agar ap wazu karne ka sunnat tariqa seekhna chahte hai to yaha click kare.

Barkato ko share kare: SunnatAzkar.com ko apne dost, ahbab ke sath share kare

Ham Ummeed karte hai ke is post me hamne azan ke baad ki Dua, aur dua ki qubuliyat ke talluq se Huzur e Aqdas (ﷺ) ki sahih ahadees ki roshni me mukammal taur par bayan kar diya hai. 

Ap se Guzarish hai ke aap hamari is azan ke baad ki dua ki post ko apne dost, ehbab aur rishtedaro ke sath zarur share kare take Azan ke baad ki dua karne ki fazilat, wasila ki dua ke bare me, aur dua karne ki fazilat ke bare me unhe bhi pata chale take ye apke lye sawab e jariyah ka zariya bane.

Aisa karne me apko bilkul bhi ghabrane ki zarurat nahi hai, kyu ke SunnatAzkar.com par hamara bas ek hi irada hai ke ham apko ahtiyat ke sath parakh kar, galtiyo se pak mawad pahunchaye take ap ko wo hidayat aur ilm mile jiski apko talash hai.

Allah kare ke ap ke failane se Islam ka ilam aur barkate dunya ke kone kone me faile, aur Allah Rabbul Izzat apko beshumar ajr ata farmaye.

Leave a Comment