Ayatul Kursi – Quran ki ayato ke wasee samandar me ek Heera hai jiski chamak ka aur uski roohani ahmiyat ka koi sani nahi. Ye ek akeli ayat jo Surah Al-Baqarah (Surah 2, Ayat 255) me payi jati hai, Allah ki huqumat aur behisab taqat ki jagmagati hui nishani hai.
Ayatul kursi jumlo ka bas ek jamawda nahi hai, Ye us asmani pul ke manind hai jo makhluq ko khaliq tak le jata hai. Iski tilawat islam ki jad aur gehre ma’ani ki taraf le janewali hai, basharte ise samajh kar padha jaye. Yaha par ham is ayat ki fazeelat ko batane wali hadeeso ko janenge. Ye wo khazana hai jiske padhne se kai fayde hote hai.
Table of Contents
Iman ki Hifazat
Ayatul kursi ko momin ka qila kaha jata hai. Iski tilawat hamare iman ko quwwat deti hai aur shaq aur shubah ke mauke par ek dhaal ki tarah kam karti hai. Iske alishan alfazo me hame suqun aur bharosa milta hai ke Allah jo hamesha zinda rehnewala hai, Jo hamesha se wajud me hai wo hamari hifazat karne wala hai.
Hifazat Aur Barkat
Huzure aqdas (ﷺ) ki hadees hame ye batati hai ke Ayatul kursi ki tilawat Allah ki taraf se hifazat ka bais banti hai. Hadees me ata hai ke iska padhna hamare lye ek hifazat karne wale ko khada karta hai jo hamari shaytani taqato se aur badnasibi se hamari hifazat karta hai. Jaise ham in ahadees ki chhanbeen karte hai to is nurani muhafiz ke gehre asar ke bare me hame pata chalta hai
Allah ke sath Talluq
Iski muhafiz asar ke alawa, Ayatul Kursi Ilahi ke sath ek talluq qayam karti hai. Iski tilawat Allah ki khudmukhtari aur hamara uske huzur hamare tabe hone ka saboot deti hai. In ayato me hame hamare khaliq ki taraf nazdiki hasil karne ki dawat milti hai.
Iman Ko Langar Bandhna
Ayatul Kursi Mushkilat aur shaqo shubah ke waqt me hamare iman ko langar ki tarah sambhalti hai. Ye hame yaad dilati hai ke allah ka ilm har cheez ko ghere hue hai, aur uski marzi puri qaynat par chalti hai.Ye zindagi ke imtihano me taqat aur sabr ka maakhaz hai.
To chaliye Ayatul Kursi ko janne ke is safar ki shuruat karne se pehle hamare seene ko iski gehri nasihato ko qubul karne ke lie khol lete hai. Ahadees ke zariye, is noorani ayat ke us lifafe ko ham kholenge jo hidayat ke lihaf ki kai parato se dhaka hua hai.
Is deeni malumat ke safar me hamare sathi baniye, jaha ham momino ki zindagi me Ayatul Kursi ki ahmiyat ko chamchamane wali ahadees ko jama kar rahe hai aur SunnatAzkar.com ko apne dost, ahbab, rishtedar aur gharwalo ke sath zarur share kare.
Ayatul Kursi Hadees Number: 1
Abdullah Bin Masud se riwayat hai:”Allah ne asmano me aur zameen me ayatul kursi jaisi koi aur shandar cheez nahi banayi.”
Sufiyan ne bayan kiya:”Kyu ki ayatul kursi Allah ka bayan hai, aur Allah ka bayan Allah ki asmano aur zameen ki khalqat se behtar hai.”
Grade: Sahih (Darussalam)
Reference : Jami` at-Tirmidhi 2884
In-book reference : Book 45, Hadith 10
English translation : Vol. 5, Book 42, Hadith 2884
Ayatul Kursi Hadees Number: 2
Abu Huraira riwayat karte hai:” Allah ke Rasool (ﷺ) ne mujhe ramadan ki zakat ki hifazat par muqarrar farmaya. Achanak ek shakhs mere pas aya aur ghalle me se mutthiya bhar bhar kar uthane laga. Maine use pakad liya aur kaha ke kasam Allah ki, mai tujhe Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat me le chalunga. Usne kaha ke Allah ki kasam mai bahot mohtaj hu, mere baal bachche hai aur mai sakht zaruratmand hu.”
Hazrat Abu Hurairah radi. Ne kaha ke maine use chhod diya.Subah hui to Rasool (ﷺ) ne mujh se puchha aye Abu Hurairah, guzishta raat tumhare qaydi ne kya kiya tha?
Maine kaha Ya Rasool Allah (ﷺ), usne sakht zarurat aur baal bachcho ka rona roya, islye mujhe us par raham aa gya, aur maine use chhod diya.
Ap (ﷺ) ne farmaya ke wo tumhse jhut bol kar gaya hai, aur wo phir ayega.
Rasoole kareem (ﷺ) ke yu farmane ke bad mujhe pura yaqeen tha ke wo phir ayega, islye mai uski taak me laga raha. Aur jab wo dusri raat ake phir ghalla uthane laga, to maine use phir pakda aur kaha ke tujhe Rasoole kareem (ﷺ) ki khidmat me pesh karunga. Leqin ab bhi uski wahi ilteja thi ke mujhe chhod de, mai mohtaj hu. Baal bachcho ko bojh mere sar par hai. Ab mai kabhi na aunga. Mujhe raham aa gaya aur maine use phir chhod diya.
Subah hui to Rasoole kareem (ﷺ) ne farmaya, aye Abu Huraira!, tumhare qaidi ne kya kiya?
Maine kaha, Ya Rasool Allah (ﷺ), usne phir wahi sakht zarurat aur baal bachcho ka rona roya, jis par mujhe raham aa gaya, islye maine use chhod diya.
Ap (ﷺ) ne is martaba bhi yahi farmaya ke wo tumse jhut bol kar gaya hai aur wo phir ayega.
Tisri martaba mai phir uske intezar me tha ke usne phir tisri raat aakar ghalla uthana shuru kiya, to maine use pakad liya, aur kaha ke tujhe Rasool Allah (ﷺ) ki khidmat me pahochana ab zaruri ho gaya hai. Ye tisra mauka hai. Har martaba tum yaqeen dilate rahe ke phir nahi aoge, leqin tum baaz nahi aye.
Usne kaha ke is martaba mujhe chhod de to mai tumhe aise chand kalimaat sikha dunga jisse Allah tala tumhe fayda pahochayega.
Maine puchha wo kalimaat kya hai?
Usne kaha ke jab tum apne bistar par letne lago to Ayatul Kursi, Allahu La Ilaha Illa Huwal Hayyul Qayyum, puri padh liya karo. Ek nigran farishta Allah tala ki taraf se tumhari hifazat karta rahega. Aur subah tak shaitan tumhare pas kabhi nahi aa skega.
Is martaba bhi maine use phir chhod diya. Subah hui to Rasoole kareem (ﷺ) ne daryaft farmaya, guzishta raat tumhare qaidi ne tumse kya mamla kiya?
Maine arz kiya ke Ya Rasool Allah (ﷺ), usne mujhe chand kalimaat sikhaye aur yaqeen dilaya ke Allah tala mujhe usse fayda pahochayega. Islye maine use chhod diya.
Ap (ﷺ) ne daryaft kiya ke wo kalimaat kya hai?
Maine arz kiya ke usne kaha tha ke jab bistar par leto to Ayatul Kursi padh lo, shuru (Allahu la ilaha illa huwal hayyul qayyum) se Akhir tak. Usne mujh se ye bhi kaha ke Allah tala ki taraf se tum par ek nigran farishta muqarrar rahega. Aur subah tak shaitan tumhare kareeb bhi nahi aa sakega.
Nabie kareem (ﷺ) ne farmaya ke agarche wo jhuta tha, leqin tum se ye bat sach keh gaya hai. Aye Abu Huraira, tum ko ye bhi malum hai ke teen raato se tumhara mamla kisse tha?
Maine kaha nahi.
Huzure aqdas (ﷺ) ne farmaya ke wo shaytaan tha.
Reference : Sahih al-Bukhari 2311
In-book reference : Book 40, Hadith 11
USC-MSA web (English) reference : Vol. 3, Book 38, Hadith 505
Ayatul Kursi Hadees Number: 3
Abdur-Rahman bin Abi Laila riwayat karte hai ke
Abu Ayyub Al-Ansari ke pas ek godam tha jis me wo khajure jama rakhte the. Ek shaytan ati thi aur usme se le jati thi, to unhone iske bare me Huzur (ﷺ) se shikayat ki.
To unhone farmaya ke jao aur ab jab tum use dekho to kehna ke Allah ke nam se, Allah ke nabi (ﷺ) ko jawab do.
Unohone kaha ke maine use pakad liya aur usne kasam khyi ki wo wapis nahi ayegi, to maine use chhod diya.
Wo huzur (ﷺ) ke pas gaye to unhone puchha:”tumhare qaidi ne kya kiya?”
Unhone kaha:”Usne kasam khayi hai ke wo wapis nahi ayegi.”
Ap (ﷺ) ne farmaya:”usne jhut bola hai aur wo dubara jhut bolne ke lye ayegi.”
Unhone kaha:”maine use ek martaba aur pakad liya aur usne kasam khayi ke mai wapis nahi aungi, to maine use chhod diya, aur Huzur (ﷺ) ke pas gaya.”
Huzur (ﷺ) ne daryaft farmaya:”tumhare qaidi ne kya kiya?”
Unhone kaha:”usne kasam khai ke wo wapis nahi ayegi.”
To Huzur (ﷺ) ne farmaya:”usne jhut bola hai aur wo jhuth bolne ke lye dubara ayegi.”
To unhone use pakad liya aur kaha:”mai tujhe us waqt tak jane nahi dunga jab tak tu mere sath Huzur (ﷺ) ki khidmat me pesh nahi hoti.”
Usne kaha:”mai tumhe ek baat batati hu, agar tum apne ghar me Ayat Al Kursi padhoge, to na koi shaitan, aur na koi aur tumhare pas aa sakega.”
To wo huzur (ﷺ) ke pas gae aur arz kiya, Huzur (ﷺ) ne daryaft farmaya:”tumhare qaidi ne kya kiya?”
Unhone kaha ke maine Huzur (ﷺ) ko bataya jo usne kaha, tab Huzur (ﷺ) ne farmaya:’usne sach kaha, aur wo musalsal jhut bolne wali hai.’”
Grade: Hasan (Darussalam)
Reference : Jami` at-Tirmidhi 2880
In-book reference : Book 45, Hadith 6
English translation : Vol. 5, Book 42, Hadith 2880
Ayatul Kursi Hadees Number: 4
Abu Umamah (Radi.) riwayat karte hai ke farmaya Allah ke Nabi (ﷺ) ne:”jo bhi har farz namaz ke bad Ayatul Kursi padhta hai, to maut ke alawa koi aur cheez use jannat me jane se nahi rok sakti.”
[Nasai ne ise naql kiya, aur Ibn Hibban ne ise Sahih kaha.]
Book: Bulugh Al Maram
Sunnah.com reference : Book 2, Hadith 220
English translation : Book 2, Hadith 324
Arabic reference : Book 2, Hadith 326
Pingback: Ayatul Kursi in Hindi, English, Arabic - SunnatAzkar
Pingback: Subah ke Azkar Aur Sham ke Azkar - SunnatAzkar