Azan aur iqamat ke alfaz aur tarjuma har musalman ko lazmi sikhna chahiye, ye bade hi afsos ki baat hogi ke jis azan ko ham raozan panch bar sunte hai uska matlab bhi hame pata na ho.
Table of Contents
Azan Aur Iqamat ke kalimat Arabi me
Azan:
اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ
أَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ أَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ
حَىَّ عَلَى الصَّلاَةِ حَىَّ عَلَى الصَّلاَةِ
حَىَّ عَلَى الْفَلاَحِ حَىَّ عَلَى الْفَلاَحِ
اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ
Iqamat:
اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ
أَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ
حَىَّ عَلَى الصَّلاَةِ
حَىَّ عَلَى الْفَلاَحِ
قَدْ قَامَتِ الصَّلاَةُ قَدْ قَامَتِ الصَّلاَةُ
اللَّهُ أَكْبَرُ اللَّهُ أَكْبَرُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ
Azan Aur Iqamat ke kalimat Roman Hindi me
Azan:
Allahu Akbar, Allahu Akbar. Allahu Akbar, Allahu Akbar.
Ash-hadu an La ilaha ill-Allah, Ash-hadu an La ilaha ill-Allah.
Ash-hadu anna Muhammad-ar-Rasul Allah, Ash-hadu anna Muhammad-ar-Rasul Allah.
Hayya ‘al-as-salah, Hayya ‘al-as-salah.
Hayya ‘al-al falah, Hayya ‘al-al falah.
Allahu Akbar, Allahu Akbar. La ilaha ill-Allah.
Iqamat:
Allahu Akbar, Allahu Akbar,
Ash-hadu an La ilaha ill-Allah,
Ash-hadu anna Muhammad-ar-Rasul Allah,
Hayya ‘al-as-salah,
Hayya ‘al-al falah,
Qadqamat- is-salah, Qadqamat- is-salah,
Allahu Akbar, Allahu Akbar. La ilaha ill-Allah.
Azan aur iqamat ke kalimat ka Tarjumah:
Allahu Akbar = Allah Sabse bada hai
Ash-hadu an La ilaha ill-Allah = main gawahi deta hu ke Allah ke alawa koi aur ibadat ke layak nahi
Ash-hadu anna Muhammad-ar-Rasul Allah = main gawahi deta hu ke Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasul hai
Hayya ‘al-as-salah = Aao Namaz ki taraf
Hayya ‘al-al falah = Aao kamiyabi ki taraf
Qadqamat- is-salah = namaz ka waqt ho gaya
Allahu Akbar = Allah Sabse bada hai
La ilaha ill-Allah = Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi
Azan ka mashwarah
Allah ke Nabi (ﷺ) Jab Makkah se Madina tashreef le gaye uske bad musalmano par namaz farz ho gai. Leqin namaz ke lye logo ko jama karne ke lye Azan dene ka tarika abhi tay nahi hua tha.
Aur musalman namaz adaa karne ke lye waqt ka andaza laga kar ikatthe hote the. Us waqt logo ko namaz ke lye jama karne ke lye mashwarah hua jisme logo ne ghanta bajane, bigul bajane aur pahad par aag jalane ki bhi raay di. Niche di gai hadees padhe.
Ibn `Umar riwayat karte hai:
Jab muslman hijrat kar ke madina pahonche, wo namaz ke lye waqt ka andaza laga kar jama hua karte the. Un dino namaz ke lye azan pukarne ka tariqa abhi tay nahi hua tha. Ek din is bare me mashwara hua. Kisi ne kaha ke nasraniyo ki tarah ek ghanta le liya jae, aur kisi ne kaha ke yahudiyo ki tarah ek bigul le liya jaye aur usi me phoonk mar di jaye. Tab hazrat ‘Umar (رضي الله عنه) ne kaha ke kyu na kisi shakhs ko bhej diya jaye jo azan ke lye pukar diya kare. Us par Huzur e Aqdas (ﷺ) ne Bilal (رضي الله عنه) ko hukm diya ke bilal uth! Aur namaz ke lye azan de.
Reference : Sahih al-Bukhari 604
Hazat Bilal (رضي الله عنه) ko Azan ke kalimat do do martaba pukarne aur unhi kalimat ko iqamat me ek ek martaba pukarne ka hukm diya gaya siway “Qadqamat-is-salah” ke jise do martaba kehna hota hai. Niche iski hadees di gai hai.
Anas riwayat karte hai:
Logo ne aag aur Ghante ka zikr kiya, aur isse unhone yahudi aur nasraniyo ki baat ki. Phir Bilal (رضي الله عنه) ko hukm hua ke wo namaz ke lye azan pukare aur uske kalimat ko do do bar kahe, aur in kalimat ko ek ek bar kehte hue iqamat pukare.
Reference : Sahih al-Bukhari 603
Abu Qilaba riwayat karte hai:
Anas ne kaha,”Bilal ko azan ke kalimat do marataba pukarne aur iqamat sirf ek bar pukarne ka hukm diya gaya.”
Isma`il ne kaha, “Mane Aiyub se iska zikr kiya aur usne isme mazeed izafa kiya ke, “siwaye iqamat ke (yane ke Qadqamat- is-salat ke jise do bar kehna hai).
Reference : Sahih al-Bukhari 607
Azan aur Iqamat ke Kalimat kisne Sikhaye?
Jisne Namaz farz ki usine Azan aur Iqamat ke kalimat bhi sikhaye, yane ke Allah Ta’ala ne. Ye ek boht hi khubsurat waqia hai. Niche iske bare me Sahih hadees di gai hai jisme ye pura waqia bayan hua hai, zarur padhe aur apne dost, ehbab ke sath bhi bayan kare.
‘Abd Allah b. Zaid riwayat karte hai:
Jab Allah ke Rasul (ﷺ) ne hukm diya ke ek ghanta banaya jaye ke jise baja kar logo ko namaz ke lye jama kiya jaye, tab ek shakhs mere khwab me aya aur uske hath me ek ghanta tha, maine usse kaha: Aye Abdullah ke Ghulam, kya tum ye ghanta bechoge? Usne puchha: tum iska kya karoge? Maine jawab diya: ham iska istemal kar ke logo ko namaz ke lye jama karenge. Usne kaha: kya main tumhe isse behtar tarika batau? Maine kaha: zarur batao. Phir usne mujhe kaha ke kaho: Allahu Akbar, Allahu Akbar. Allahu Akbar, Allahu Akbar. Ash-hadu an La ilaha ill-Allah, Ash-hadu an La ilaha ill-Allah. Ash-hadu anna Muhammd-ar-Rasul Allah, Ash-hadu anna Muhammd-ar-Rasul Allah. Hayya ‘al-as-salah, Hayya ‘al-as-salah. Hayya ‘al-al falah, Hayya ‘al-al falah. Allahu Akbar, Allahu Akbar. La ilaha ill-Allah.
Phir wo kuchh kadam pichhe hata aur kaha: Jab tum iqamat kaho, to tumhe kehna chahiye: Allahu Akbar, Allahu Akbar. Ash-hadu an La ilaha ill-Allah, Ash-hadu anna Muhammd-ar-Rasul Allah. Hayya ‘al-as-salah, Hayya ‘al-al falah. Qadqamat- is-salah, Qadqamat- is-salah. Allahu Akbar, Allahu Akbar. La ilaha ill-Allah.
Jab subah hui to main Allah ke Rasul (ﷺ) ke pas gaya aur mere khwab ke bare me unhe bataya. Unhone irshad farmaya: ye ek sachcha khwab hai, aur logo ko namaz ke lye bulane ke lye bilal ko in kalimat ka istemal karna chahiye kyu ke uski awaz tumhari awaz se buland hai. To main Bilal ke sath khada hua aur use azan ke kalimat sikhaye aur usne inka istemal kar ke azan di. ‘Umar b. Al-khattab (رضي الله عنه) ne ise suna jab wo apne ghar me the to wo jaldi se aye ke unka kurta pichhe latak raha tha aur kaha: Allah ke Rasul (ﷺ), us zaat ki kasam jisne apko Haq ke sath Nabi bana kar mab’oos kiya, maine bhi khwab me wahi cheez dekhi jo ise dikhayi gayi. Allah ke Rasul (ﷺ) ne kaha: Alhamdu Lillah.
Reference : Sunan Abi Dawud 499
Azan aur Iqamat ke Kalimat kitne hai?
Upar jo Sunan Abi Dawud ki hadees number 499 ham dekh chuke hai, uske mutabik azan ke kalimat 15 hai aur iqamat ke kalimat 11 hai.
Niche ek aur Sahih Hadees dee gai hai, jisme Abu Mahdhurah (رضي الله عنه) riwayat karte hai ke Rasul Allah (ﷺ) ne unhe azan ke 19 aur iqamat ke 17 kalimat sikhaye. Hadees padhe.
Abu Mahdhurah riwayat karte hai ke: Allah ke Rasul (ﷺ) ne unhe Azan ke 19 kalimat aur Iqamat ke 17 kalimat sikhaye.
Azan is tarah hai:
Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar,
Ash-hadu an La ilaha ill-Allah, Ash-hadu an La ilaha ill-Allah
Ash-hadu anna Muhammd-ar-Rasul Allah, Ash-hadu anna Muhammd-ar-Rasul Allah
Ash-hadu an La ilaha ill-Allah, Ash-hadu an La ilaha ill-Allah
Ash-hadu anna Muhammd-ar-Rasul Allah, Ash-hadu anna Muhammd-ar-Rasul Allah
Hayya ‘al-as-salah, Hayya ‘al-as-salah
Hayya ‘al-al falah, Hayya ‘al-al falah
Allahu Akbar, Allahu Akbar
La ilaha ill-Allah
Iqamat is tarah hai:
Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar,
Ash-hadu an La ilaha ill-Allah, Ash-hadu an La ilaha ill-Allah
Ash-hadu anna Muhammd-ar-Rasul Allah, Ash-hadu anna Muhammd-ar-Rasul Allah
Hayya ‘al-as-salah, Hayya ‘al-as-salah
Hayya ‘al-al falah, Hayya ‘al-al falah
Qadqamat- is-salah, Qadqamat- is-salah
Allahu Akbar, Allahu Akbar
La ilaha ill-Allah
Reference : Sunan Abi Dawud 502
Upar ki Ahadees se ye saaf ho gaya ke jab Azan ke 19 kalimat kahe jayenge tab Iqamat ke 17 kaliamt kahe jayenge, aur jab Azan ke 15 kalimat kahe jayenge tab iqamat ke 11 kalimat kahe jayenge.
kyu ke upar ham kai hadees dekh chuke hai jin me hai ke Azan ke kalimat do do martaba hai aur iqamat ke kalimat ek ek martaba hai.
Azan ka jawab
Niche wo hadees di gai hai jisme Hazrat ‘Umar Azan ke kalimat ke jawab me kya kehna chahiye wo sikha rahe hai.
‘Umar riwayat karte hai ke Allah ke Rasul (ﷺ) ne irshad farmaya:
Jab mu’adhdhin kahe, “Allahu Akbar, Allahu Akbar,” aur tum mese koi jawab deta hai, “ Allahu Akbar, Allahu Akbar,” phir wo kehta hai, “ Ash-hadu an La ilaha ill-Allah,” aur wo jawab deta hai,”Ash-hadu an La ilaha ill-Allah,”; phir wo kehta hai,”Ash-hadu anna Muhammd-ar-Rasul Allah,” aur wo jawab deta hai, ”Ash-hadu anna Muhammd-ar-Rasul Allah,”; phir wo kehta hai, “Hayya ‘al-as-salah,” aur wo jawab deta hai,”La haula wala Quwwata illa Billah,”;
phir wo kehta hai, “Hayya ‘al-al falah” aur wo jawab deta hai,”La haula wala Quwwata illa Billah,”; phir wo kehta hai, “Allahu Akbar, Allahu Akbar,” aur wo jawab deta hai, “Allahu Akbar, Allahu Akbar,”; phir wo kehta hai, “La ilaha ill-Allah,” aur wo jawab deta hai, “La ilaha ill-Allah”; agar wo dil se ye kehta hai to wo jannat me dakhil hoga.
Muslim ne ise riwayat kiya.
Reference : Mishkat al-Masabih 658
Upar ki hadees me hazrat ‘Umar ne sikhaya ke jab mu’adhdhin hayya ‘ala as-salah kahe to hame la haula wala quwwata illa billah kehna hai, leqin ek aur hadees Sahih Muslim me hai ke ham sidhe sidhe mu’adhdhin ki azan ko hubahu unhi kalimat ke sath bhi dohra sakte hai.
Abu Sa’id al-Khudri se riwayat hai:
Jab tum azan suno, to use dohrao jo Mu’azzin kehta hai.
Reference : Sahih Muslim 383
Fajar ki azan
Hazrat Abu Mahdhurah jinse 19 kalimat wali azan aur iqamat 17 kalimat wali sabit hai, unhi ki ek aur hadees niche di gai hai.
Is hadees me unhone us mauke ka ziqr kiya jab Allah ke Rasul (ﷺ) ne unhe fajar ki azan sikhayi, jisme baki ke sabhi kalimat wahi hai bas hayya ‘al-al falah ke bad as-salatu khairun min an-nawm do bar kehna hai.
Yani ke is azan me bhi 19 kalimat hai, aur 2 martaba as-salatu khairun min an-nawm ko mila kar fajar ki azan ke pure 21 kalimat hote hai. Hadees niche di gai hai.
Riwayat hai ke Abu Mahdhurah ne farmaya:
“Jab Allah ke Rasul (ﷺ) Hunain ke lye nikle, unke sath shamil hone ke lye unka pichha karne wali 10 logo ki jamat me main daswa admi tha. Hamne unhe azan dete hue suna aur hamne hasi karte hue azan ko dohrana shuru kiya. Rasul (ﷺ) ne farmaya ke maine in logo mese ek shakhs ki azan suni jiski awaz behad khubsurat hai. Unhone hame bulawa bheja aur ek ek kar ke hamari azan suni, aur main unme sab se akhri tha. Jab maine azan kahi to unhone kaha:’yaha aao.’ unhone mujhe apne samne baithaya aur meri peshani ki lato ko sawara aur mujhe teen martaba dua di. Phir kaha ke jao aur Baitul Haram me azan do. maine puchha kaise ya Rasul Allah (ﷺ)? Unhone mujhe azan sikhayi jaise ki tum abhi azan dete ho: ‘Allahu Akbar, Allahu akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar; Ashhadu an la ilaha illallah, Ashhadu an la ilaha illallah; Ashhadu anna Muhammadan Rasulallah, Ashhadu anna Muhammadan Rasulallah, Ashhadu an la ilaha illallah, Ashhadu an la ilaha illallah; Ashhadu anna Muhammadan Rasulallah, Ashhadu anna Muhammadan Rasulallah; Hayya ‘alas-salah, Hayya ‘ala-salah; Hayya ‘alal-falah Hayya ‘alal-falah; as-salatu khairun min an-nawm;as-salatu khairun min an-nawm; jo pehli azan hai subah ki (fajar ki azan).
Aur unhone mujhe iqamat sikhayi har jumle ko do martaba kaha: ‘Allahu Akbar, Allahu Akbar, (Allahu Akbar, Allahu Akbar), Ashhadu an la ilaha illallah, Ashhadu an la ilaha illallah; Ashhadu anna Muhammadan Rasulallah, Ashhadu anna Muhammadan Rasulallah; Hayya ‘alas-salah, Hayya ‘alas-salah; Hayya ‘alal-falah, Hayya ‘alal-falah; qad qamatis-salah, qad qamati-salah, Allahu Akbar, Allahu Akbar La ilaha illallah.”
Reference : Sunan an-Nasa’i 633
Sunan an nasai 634
Azan kehte waqt Kano me ungli dalna
Jami` at-Tirmidhi me hadees hai ke jab Bilal (رضي الله عنه) azan diya karte to apne kano me unglia daal liya karte the.
Aur jaisa ke abu dawud me hadees hai, jab Haiya ‘alas-Salah aur Haiya ‘alal-Falah par pahonchte to apne chehre ko bhi ek taraf se dusri taraf phera karte the, leqin apne jism ko harkat nahi dete the.
Reference : Jami` at-Tirmidhi 197
Reference : Sunan Abi Dawud 520
Azan ki fazilat
Azan aur iqamat ke alfazo ka shaitan par boht bhari asar hota hai jise wo bardasht nahi kar sakta. Ap niche di gai sahih bukhari ki hadees padhe.
Abu Huraira se riwayat hai:
Allah ke Rasul (ﷺ) ne farmaya, “jab namaz ke lye azan pukari jati hai, tab shaitan ki hawa kharij ho jati hai aur wo ediyo ke bal bhagta hai take use azan sunai na de, aur jab Mu’azzin mukammal karta hai, to wo wapis aa jata hai; aur jab iqamat kahi jati hai to wo phir se ediyo ke bal bhagta hai, aur jab mukammal hoti hai, to wo phir se wapis aa jata hai. Aur namaziyo ko un chizo ki yaad dilata hai jinhe wo yaad nahi karte jab wo namaz me nahi hote, aur aisa tab tak karta hai jab tak wo apni rak’at bhul nahi jate.”
Abu Salama bin `Abdur-Rahman ne kaha, “Agar tumme se koi aisa karta hai to use sajda e sahu ke do sajde karne chahiye.” Abu Salama ne ise Abu Huraira se riwayat kia.
Reference : Sahih al-Bukhari 1222
Sahih Muslim ki hadees jo niche di gai hai usme ata hai ke qayamat ke din mu’azzin ki gardane sab se lambi hongi.
Aur ise ek fazilat ke taur par bayan kiya gaya hai, lehaza hame chahiye ke ham bhi azan ko sikhe aur apni masjido me azan ko pukarne wale bane.
Mu’awiya ne kaha:
maine Allah ke Rasul (ﷺ) ko kehte suna ke Qayamat ke din Mu’azzin ki gardane sab se lambi hongi.
Reference : Sahih Muslim 387
Sahih Muslim 852
Agar ap ko Wazu ka Sunnat tarika seekhna hai, to yaha click kar ke hamari post me seekh sakte hai.
Barkato ko share kare: SunnatAzkar.com ko apne dost, ahbab ke sath share kare h2
Ham Ummeed karte hai ke is post me hamne azan aur iqamat ka tarika, unke kalimat, aur azan ka jawab bhi Huzur e Aqdas (ﷺ) ki sahih ahadees ki roshni me mukammal taur par bata diya hai.
Ap se Guzarish hai ke ap apne dost ahbab, azeez aur jannewalo tak bhi ise pohchaye take ye apke lye sawab e jariyah ka zariya bane.
Aisa karne me apko bilkul bhi ghabrane ki zarurat nahi hai, kyu ke SunnatAzkar.com par hamara bas ek hi irada hai ke ham apko ahtiyat ke sath parakh kar, galtiyo se pak mawad pahunchaye take ap ko wo hidayat aur ilm mile jiski apko talash hai.
Allah kare ke ap ke failane se Islam ka ilam aur barkate dunya ke kone kone me faile, aur Allah Rabbul Izzat apko beshumar ajr ata farmaye.
Pingback: Azan ke baad ki dua - SunnatAzkar
Pingback: Dua e istiftah - SunnatAzkar