4 Qul ka tarjuma aur tilawat karne ka fayda

4 Qul aise 4 jawahrat hai jo Quran ke ilm ke samandar ki gayrayi me paye jate hai. In 4 Qul ke mukhtasar hone ke bawajud, imanwalo ke dil aur dimag me shandar chamak ke sath chamakte hai. Surah Kafirun (Surah 109) Surah Ikhlas (Surah 112) Surah Falak (surah 113) aur Surah Nas (surah 114) in 4 surato ko 4 Qul kaha jata hai.

Halanke unki lambai kam ho sakti hai, leqin unki deeni ahmiyat beshumar hai. Halanke ye 4 Qul apne mawad me makhsus hai, leqin ye charo apas me ek mushtarka pahlu rakhte hai. Ye 4 Qul dhaal ki tarah kam karte hai, iman ke muhafiz hai aur shaq aur shuba ke andhero me roshni ki kiran hai. Inki ayato me hame suqoon, kuwwat aur atal tauhid dekhne ko milti hai.

Surah Kafirun

Ye hame atal iman aur batil ka rad karna sikhati hai, aur sikhati hai ke pukhta iman kufr ke samne kabhi nahi jhukta.

Surah Ikhlas

Apni mukhtasar ayat me ye surah Allah ki wahdaniyat ko samet-ti hai. Ye hame Allah ki ilah hone aur uski wahdaniyat ki tasdik karne ki dawat deti hai.

Surah Falak

Ye ek takatwar dua hai jo har us cheez jise Allah ne banaya hai, uske shar se Allah ki panah hasil karwati hai. In chizo me unka bhi shumar hota hai jo andhero me chhupi rehti hai.

Surah Nas

Ye surah bhi ek dua hai jisme Allah ne hame panah mangna sikhaya hai us shaytan ke shar se jo jinn aur insano me se hai aur insano ke dilo me bure khayal dalta hai.

4 Qul ko janne ke is safar me hamare sathi baniye kyuki isme ham in surato ke gehre ma’ani, rozmarrah zindagi me inki ahmiyat aur inse milne wali ruhani hifazat ke bare me janenge. Ye 4 Qul, Quran ke safo par maujud alfaz bhar nahi hai, ye ruhani hifazat hai, Allah se nazdiki ke bais hai, aur imanwalo ki rooho ke lye aasra hai.

Allah se dua hai ke hamara in 4 Qul ke ma’ani me gaur karna hamare lye Allah Rabbul Izzat ki lamehdud rahmat aur hifazat ka bais bane aur sawabe darayn bane.

4 qul enlgish transliteration
4 qul enlgish transliteration

4 Qul in Roman English

Surah Kafirun

Qul ya ayyuhal kafirun

La a’abudu ma ta’abudun

Wala antum a’abiduna Ma a’abud

Wala ana ma a’abadtum

Wala antum a’abiduna ma a’abud

Lakum deenukum waliya deen.

Surah Ikhlas

Qul huw Allahu Ahad

Allahus Samad

Lam yalid walam yulad

Walam yaqun lahu

Kufuwan Ahad.

Surah Falaq

Qul A’auzu birabbbil falaq

Min sharri ma khalaq

Wa min sharri ghasiqin idha waqab

Wa min sharrin Naffathati fil a’uqad

Wa min sharri hasidin idha hasad.

Surah Nas

Qul a’uzu biRabbin Nas

Malikin Nas

Ilaahin Nas

Min sharril waswaasil khannas

Alladhi yuwaswisu fi sudurin Nas

Minal jinnati wan Nas.

4 Qul tarjuma

4 Qul tarjuma
4 Qul tarjuma

Surah kafirun

Keh do: aye kafiro

Mai unhe nahi pujta, jinhe tum pujte ho

Aur na tum use pujte ho, jise mai pujta hu

Aur na mai use pujunga, jise tum pujte ho

Aur na tum use pujoge, jise mai pujta hu

Tumhare lye tumhara deen aur mere lye mera deen hai

Surah ikhlas

Keh do: Allah akela hai

Allah sab se beniyaz hai

Na uski koi aulad hai aur na wo kisiki aulad hai

Aur na uske barabar koi hai

Surah Falak

Kaho mai panah mangta hu subah ke rab ki

Uski tamam makhluqat ke shar se

Aur rat ki tariqi ke shar se jab wo chha jaye

Aur girho me phunk marne walo (ya Waliyo) ke shar se

Aur hasid ke shar se jab wo hasad kare

Surah Nas

Kaho mai panah mangta hu tamam insano ke rab ki

Tamam insano ke badshah ki

Insano ke haqiqi ma’bud ki

Us waswase dalne wale ke shar se jo barbar laut kar ata hai

Jo logo ke dilo me waswase dalta hai

Chahe wo jinno mese ho ya insano me se

4 Qul in arabic

4 Qul Surah in Arabic
4 Qul Surah in Arabic

سُوْرَۃُ الْکٰفِرُوْنَ

قُلْ يَـٰٓأَيُّهَا ٱلْكَـٰفِرُونَ 

لَآ أَعْبُدُ مَا تَعْبُدُونَ

وَلَآ أَنتُمْ عَـٰبِدُونَ مَآ أَعْبُدُ

وَلَآ أَنَا۠ عَابِدٌۭ مَّا عَبَدتُّمْ

وَلَآ أَنتُمْ عَـٰبِدُونَ مَآ أَعْبُدُ

لَكُمْ دِينُكُمْ وَلِىَ دِينِ

سُوْرَۃُ الْاِخْلاَصِ

قُلْ هُوَ ٱللَّهُ أَحَدٌ

ٱللَّهُ ٱلصَّمَدُ

لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ

وَلَمْ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدٌۢ

سُوْرَۃُ الْفَلَقِ

قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ ٱلْفَلَقِ

مِن شَرِّ مَا خَلَقَ

وَمِن شَرِّ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ

وَمِن شَرِّ ٱلنَّفَّـٰثَـٰتِ فِى ٱلْعُقَدِ

وَمِن شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ

سُوْرَۃُ النَّاسِ

قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ ٱلنَّاسِ

مَلِكِ ٱلنَّاسِ إِلَـٰهِ ٱلنَّاسِ

مِن شَرِّ ٱلْوَسْوَاسِ ٱلْخَنَّاسِ

ٱلَّذِى يُوَسْوِسُ فِى صُدُورِ ٱلنَّاسِ

مِنَ ٱلْجِنَّةِ وَٱلنَّاسِ

4 Qul ke bare me hadis

Jab bhi ham 4 Qul ki tilawat karne ke faydo ki bat karte hai to hame do alfazo ke bare me ilm hona zaruri hai, wo hai Al Mu’awwidhatayn aur Al Mu’awwidhat.

Al Mu’awwidhatayn kya hai?

Quran ki Akhri do surah, Surah Falaq aur Surah Nas, inhe Al Mu’awwidhatayn kaha jata hai. Age anewali Sahi Bukhari aur Sahi Muslim ki ahadees me apko inke bare me mazid ilm hasil hoga, to padhna jari rakhe.

Uqba b. ‘Amir riwayat karte hai ke Rasul Allah (ﷺ) ne mujh se farmaya:”Mujh par do ayate aisi nazil hui hai ke unke jaisi isse pehle kabhi nazil nahi hui. Wo Al Mu’awwidhatayn hai.” 

Sahih Muslim Hadith Number 1892

Al Mu’awwidhat kya hai?

Quran e kareem ki akhri teen surah, Surah Ikhlas, Surah Falaq aur Surah Nas ko Al Mu’awwidhat kaha jata hai jiske ma’ani hai hifazat karne wali teen Surah.

Al Mu’awwidhatayn ki tilawat karne ke fayde

Uqba b. ‘Amir riwayat karte hai:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne mujhse irshad farmaya:”Mujh par aisi ayate nazil hui hai ke unke jaisi ayate kabhi nahi dekhi.Wo Al Mu’awwadhatayn hai.

Sahih Muslim Hadith Number 1892

‘Uqba b. ‘Amir riwayat karte hai ke Allah ke Rasul (ﷺ) ne irshad farmaya:

Kya hi behtarin ayate aj nazil hui hai. Unke jaisi to kabhi nahi dekhi. Wo ye hai:”Kaho: Mai panah me ata hu Subah ke Rab ki,” aur”kaho: Mai panah me ata hu Insano ke Rab ki.”

Sahih Muslim 814a

Ammi  Aisha riwayat karti hai:

Jab bhi Allah ke Rasul (ﷺ) bimar hote, wo Mu’awwidhat (Surat Falaq and Surat Nas) ki tilawat farmate,aur apne jism par phoonkte. Jab wo behad bimar ho gaye, to mai tilawat karti (in dono surah ki) aur unke hatho ki barqat ki ummeed ke sath unke hatho ko unke jism par pherti.

Sahih Al Bukhari 5016

Aisha riwayat karti hai ke jab kabhi bhi Ahle Bayt mese koi bimar hota to Allah ke Rasul (ﷺ) Mu’awwidhatayn ki tilawat kar ke un par phoonkte, Aur jab wo bimar hue ke jisme unka intekal hua, mai un par phoonkti thi, aur unke hatho me mere hatho se zyada shifa hone ki wajah se mai unke hatho ko unke jism par phera karti thi.

Sahih Muslim hadith 5714.

Uqbah ibn Amir riwayat karte hai:

Ek safar ke dauran mai Allah ke Rasul (ﷺ) ki untni ki mahar pakad kar chal raha tha. Unhone mujh se farmaya Uqbah, kya mai tumhe padhi janewali surato me sab se behtarin surate batau? Phir unhone mujhe sikhaya: “kaho, mai subah ke Rab ki panah me ata hu,” aur “Mai insano ke Rab ki panah me ata hu.” Jab unhone dekha ke mujhe zyada khushi nahi hui (In dono surato se).

Jab wo namaz padhane ke lye utre, unhone logo ko fajr ki namaz padhayi aur un do surato ko usme tilawat farmaya. Jab Allah ke Rasul (ﷺ)ne apni namaz khatam ki, wo meri taraf mude aur kaha: O Uqbah, tumne in do surato ko kaisa paya.

Sunan Abi Dawud 1462

Uqbah ibn Amir riwayat karte hai:

Allah ke Rasul (ﷺ) ne mujhe Mu’awwidhatayn (Qur’an ki akhri do surah) har namaz ke bad tilawat karne ka hukm diya.

Sunan Abi Dawud 1523

Riwayat hai ke Uqbah bin Amr ne kaha:

“Jab Allah ke Rasul (ﷺ) sawari kar rahe the tab mai unke pichhe gaya aur maine apna hath unke pair par rakha aur kaha: Allah ke Rasul (ﷺ), mujhe Surah Hud aur Surah Yusuf sikhaiye. 

Unhone farmaya: ‘Tum Allah ke yaha tilawat karne ke lye: “Kaho: Mai panah me ata hu Subah ke Rab ki (Surah Falaq).” aur “Kaho: Mai panah me ata hu insano ke Rab ki (Surah Nas), in do surah se badi koi surah nahi paoge. ‘”

Sunan an-Nasa’i 953

Al Mu’awwidhat ki tilawat karne ke fayde

Hazrat ‘Aisha riwayat karti hai:

Har rat, jab kabhi bhi Allah ke Rasul (ﷺ) apne bistar par jate, wo apne hatho ko ek sath jodte aur Surat Ikhlas, Surat Falaq aur Surat Nas tilawat karne ke bad un par phunkte, aur phir wo apne hatho ko apne sir, chehre aur apne jism ke samne ke hisse se shuru kar ke apne badan par pherte jaha tak unke hath pahunchte, wo is tarah teen martaba karte.

Sahih al-Bukhari 5017

Abdullah ibn Khubayb riwayat karte hai: 

Ham ek behad kali barish wali rat me Allah ke Nabi (ﷺ) ko dhundne nikle ke wo hame namaz padhaye, aur jab hamne unhe paya, 

Unhone hamse pucha: kya tumne ibadat ki?, 

Leqin maine koi jawab na diya. 

To unhone kaha: Kaho, par maine koi jawab na diya. 

Unhone phir se kaha: Kaho, par maine koi jawab na diya.

Unhone phir kaha: Kaho. 

To maine kaha: Mai kya kahu? 

Unhone kaha: Kaho:  Kaho, Wo Allah Hai, Ahad,   aur al-Mu’awwadhatayn teen martaba subah me aur sham me, wo tumhari har mamle me kifayat karengi. 

Abu Dawud: Hadith Number 5082.

Surah Ikhlas ko Al Mu’awwidhat me kyu shamil kiya gaya?

Surah Az Zukhruf Ayah 36

وَمَن يَعْشُ عَن ذِكْرِ ٱلرَّحْمَـٰنِ نُقَيِّضْ لَهُۥ شَيْطَـٰنًۭا فَهُوَ لَهُۥ قَرِينٌۭ ٣٦

Tarjuma

Aur jo koi bhi beinteha Rahmat wale ke zikr se gafil ho jata hai, ham us par ek shaytan musallat kar dete hai aur wo uska sathi ban jata hai.

Upar di hui Ayat ki roshni me ham ye keh sakte hai ke jab tak koi Allah ke zikr me mashgool hai, Allah uski Shaytan se hifazat karta hai aur jaise hi wo apne ap ko Allah ke zikr se alag karta hai, ye hifazat utha li jati hai. Aur Shaytan us par hamla kar deta hai.

Hadith

Allah ke Rasul (ﷺ) ka irshad hai,” Shaytan ibne adam ke dil se chimta hua hai , jab bhi wo Allah ka zikr karta hai, shaytan usse door ho jata hai, jis ghadi wo Allah ka zikr karna band karta hai, shaytan phir se uske dil se chimat jata hai.

Mishkat Al Masbih 2281

Al-Harith Al-Ash’ari riwayat karte hai:

Farmaya Allah ke Rasul (ﷺ) ne: “beshak Allah ne Yahya bin Zakariyya ko hukm diya ke wo 5 hukm ki pabandi kare aur bani Isra’il ko bhi unki pabandi karne ka hukm de. Phir  Yahya عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ un 5 hukm ko bayan karte hai. Akhri hukm ko bayan karte hue wo farmate hai: Allah tumhe hukm deta hai ke tum use yaad karo. Beshak uski misal aisi hai, ke jaise ek shakhs ka dushman uske piche pada ho aur jald hi use dhund lene wala ho aur wo usse bachne ke lye ek mehfuz qile me panah le le. Bande ki misal bhi aisi hi hai; wo shaytan se apni hifazat nahi kar sakta siway iske ki wo Allah ka zikr kare.'”

Jami` at-Tirmidhi 2863

To upar di gai ahadees ki roshni me, ham ye keh sakte hai ke Allah ka zikr ek mehfuz qile ki tarah hai jo Shaytan ke hamlo se hamari hifazat karta hai.

Jab ham Allah ke zikr ki bat karte hai, to hame pata hona chahiye ke Surah Ikhlas Allah ka behtarin zikr hai, kyu ke ye khalis tauheed bayan karta hai. Islye ise Al Mu’awwidhat yani panah denewali teen surah me shamil kiya gaya hai.

Surah Ikhlas ki tilawat karne ke Fayde

Surah Ikhlas ki tilawat karna Quran ke teesre hisse ke tilawat karne ke barabar hai.

Abu Darda’ riwayat karte hai ke Allah ke Rasul (ﷺ) ne farmaya:

Kya tum mese koi hai jo Quran ka ek tihayi (30%) hissa ek rat me tilawat kar sake? 

Sahaba ne arz kiya: koi ek rat me Quran ka tihayi hissa kaise tilawat kar sakta hai?

Is par Nabi e karim (ﷺ) ne farmaya: ‘Kaho: Wo Allah hai, Ahad’ (Qur’an) ye ek tihayi Quran tilawat karne ke barabar hai.”

Sahih Muslim 811a

Hadith

Hazrat `Aisha riwayat karti hai:

Rasul Allah (ﷺ) ne ek fauji tukdi ka amir aise shakhs ko bana kar bheja jo apne ashab ki imamat karta to apni qirat ke akhir me (Surah 112): ‘Kaho: “ wo Allah hai, Ahad”’ padhta. 

Jab wo laute to unhone iska zikr nabi e karim (ﷺ) se kiya.

Huzur (ﷺ) ne kaha, “usse pucho wo aisa kyu karta hai”

Unhone usse pucha, to usne jawab diya, “ mai aisa karta hu kyu ke ye (surah) Rahman ki shan bayan karti hai aur mai isse mohabbat karta hu.”

Huzur (ﷺ) ne farmaya, “ Usse keh do ke Allah bhi usse mohabbat karta hai.”

Sahih al-Bukhari 7375

Anas (radi.) riwayat karte hai:

Ek shakhs ne kaha: “Ya Rasul Allah (ﷺ)! Mai Surat Ikhlas se mohabbat karta hu (Surah 112): ‘Kaho: “ wo Allah hai, Ahad”’ 

Ap (ﷺ) ne farmaya, “isse tumhari mohabbat tumhe jannat me leke jayegi.”

Riyadh As Saliheen 1013

Abu Hurairah riwayat karte hai:

“Mai Allah ke Rasul (ﷺ) ke sath gaya aur maine ek shakhs ko Qul Huwa Allahu Ahad [Allahus-Samad] padhte suna to Allah ke Rasul (ﷺ) ne farmaya: ‘Wajib ho gayi.’ 

Maine pucha: ‘kya wajib ho gayi ya Rasul Allah (ﷺ) ?’ 

Ap (ﷺ) ne farmaya: ‘Jannat.'”

Jami` at-Tirmidhi 2897

‘Abdullah bin Buraidah riwayat karte hai ke unke Abba ne kaha:

“Nabi e kareem (ﷺ) ne ek shakhs ko kehte hue suna: ‘Allahumma! Inni as’aluka bi-annaka Antallahul-Ahadus-Samad, alladhi lam yalid wa lam yuwlud, wa lam yakun lahu kufuwan ahad (Ya Allah! Tere Allah hone ki wajah se mai tujhse sawal karta hu, Akela, Beniyaz, Na jisne kisi ko payda kiya, Na use kisi ne payda kiya, aur uska koi sani nahi hai).’ 

Allah ke Rasul (ﷺ) ne farmaya: ‘usne Allah ke azimusshan nam se sawal kiya hai, ke jisse jab usse manga jaye to wo deta hai, aur agar use pukara jaye to wo sunta hai.'”

Sunan Ibn Majah 3857

click here for 4 Qul English transliteration and english translation

Barkato ko share kare: SunnatAzkar.com ko apne dost, ahbab ke sath share kare

Ham ye chahte hai ke Dua, Azkar aur Hadis ki barkate har shakhs ko ekdam durust tarike se pahunche. SunnatAzkar.com par hamara bas ek hi irada hai ke ham apko ahtiyat ke sath parakh kar, galtiyo se pak mawad pahunchaye take ap ko wo hidayat aur ilm mile jiski apko talash hai.

Ab ap is azim maqsad ka hissa ban sakte hai. Is post ko apne dost, khandan aur jannewalo ke sath share kare. Aisa karne se ap na sirf mustanad islami mawad hasil karne me unki madad karenge balke Allah se ap kabhi khatam na honewala inam bhi hasil karenge.

Is sahi aur galat malumat se umad rahe internet ke samandar me, ap islam ki mustanad, aur sahi malumat ise khojne walo tak pahochane ka zariya bane. SunnatAzkar.com ke bare me sabko bataye ke SunnatAzkar.com par sadaqat hai, islam hai.

Allah kare ke ap ke failane se Islam ka ilam aur barkate dunya ke kone kone me faile, aur Allah Rabbul Izzat apko beshumar ajr ata farmaye.

3 thoughts on “4 Qul ka tarjuma aur tilawat karne ka fayda”

  1. Pingback: 4 Qul Surah in English with Translation and Benefits - SunnatAzkar

  2. Pingback: 4 Qul in Hindi - SunnatAzkar

  3. Pingback: Subah ke Azkar Aur Sham ke Azkar - SunnatAzkar

Leave a Comment